Sunday, 25 September 2016

Home remedies for asthma in hindi : घर बैठे करें अस्थमा का उपचार

 घर बैठे करे अस्थमा का उपचार

Asthma ka ilaaj, ghar par asthma ka ilaaj in hindi, asthma ka gharelu upchar in hindi


अस्थमा के उपचार के लिए कुछ घरेलू उपचार हैं जिनसे अस्थमा के लक्षणों को आसानी से कम किया जा सकता है। क्या आप जानते हैं अस्थमा के उपचार के लिए कई प्राकृतिक उपायों को भी अपनाया जाता है, जिससे अस्थमा की रोकथाम संभव है। लेकिन सवाल ये उठता है कि आखिर वे कौन से घरेलू नुस्खें हैं, जिनसे अस्थमा को ठीक किया जा सकता है। इतना ही नहीं अस्थमा का घरेलू इलाज कितना मुश्किल है यह भी जानना जरूरी है। क्या घर बैठे अस्थमा का उपचार हो सकता है। इत्यादि सवालों के जवाब जानना जरूरी है। तो आइए जानें कैसे घर बैठे करें अस्थमा का उपचार।



बुटेको ब्रीथ्रिंग तकनीक

यह ब्रीथिंग तकनीक सही तरह से सांस लेने में मदद करता है। इस तकनीक में आपको जोर-जोर से सांस लेनी होती है। जैसे आप गुब्बारे को फुलाने के लिए लगातार उसमें हवा भरते हैं ठीक इसी तरह आपको जोर-जोर से फूंक मारनी होती है। इस तकनीक से अस्थमा के मरीज की सांस संबंधी समस्याएं कम हो जाती हैं। यह तकनीक रक्त में कार्बनडाई ऑक्साइड की मात्रा को मात्रा कम करती है। इसके साथ ही अस्थमैटिक मरीज की श्वसन नलिका इस क्रिया को अपनाने से खुल जाती हैं और उसे खुलकर सांस लेने में मदद मिलती है। बुटेको ब्रीथिंग तकनीक को प्रणायाम का दूसरा स्वरूप माना जाता है। लेकिन यह तकनीक अस्थमैटिक मरीजों की समस्याओं को कम करने में अधिक कारगर है। इस तकनीक से एक्सरसाइज करने से चेस्ट में,गले में,डायाफ्रम और कंधों इत्यादि में तनाव कम करने में मदद मिलती है। इसके साथ ही ब्रीथिंग सिस्टम को सुधारने में भी बहुत मदद मिलती है। यदि नियमित रूप से बुटेको ब्रीथिंग तकनीक को अपनाया जाता है तो लगभग 90 फीसदी अस्थमा के लक्षणों और अस्थमा अटैक को कम किया जा सकता है। इसके अलावा मरीज को बहुत कम दवाईयों के सेवन की जरूरत पड़ती है।


ओमेगा 3 फैटी एसिड

अत्यधिक खपत वाला फैटी एसिड ओमेगा 3 और ओमेगा 6 है। अस्थ‍मैटिक मरीजों के लिए जहां ओमेटा 3 फैटी एसिड बहुत फायदेमंद है वहीं ओमेगा 6 अस्थमा को अधिक बिगाड़ सकता है। ओमगा 3 फैटी एसिड से वायुमार्ग से अस्थमा मरीजों को होने वाली तकलीफ और सूजन इत्यादि से बचाने में मदद करता है। ओमेगा 3 फैटी एसिड के कई स्रोत हो सकते हैं जैसे- मछली, ट्यूना, हलिबेट, कुछ तेल जैसे-  जैतून का तेल, हरी पत्तेदार सब्जियां, अखरोट हो सकते हैं। ओमेगा -3 फैटी एसिड को पॉलीअनसेचुरेटेड (polyunsaturated)एसिड के नाम से भी जाना जाता है। अमेरिकी हार्ट एसोसिएशन के अनुसार अस्थमैटिक मरीजों को मछली को कम से कम एक सप्ताह में दो बार खाना चाहिए।


फल और सब्जियां

अधिक से अधिक टमाटर, गाजर और पत्तेदार सब्जियां खाने से अस्थमा अटैक को कम किया जा सकता है। अस्थमा के मरीजों को रोजाना कम से कम एक सेब खाना चाहिए जिससे वे अस्थमा रोग से लड़ने में सक्षम हो सकें। कैम्ब्रिज विश्वविद्यालय द्वारा किए गए एक अध्ययन में पाया गया कि वयस्कों में अस्थमा का मुख्य कारण फ्रूट्स, विटामिन सी, आयरन इत्यादि खाघ पदार्थों का सेवन ना करना है। यदि बच्चे शुरू से ही रोजाना फ्रूट्स इत्यादि खूब खाएंगे तो वे अस्थमा रोग से आसानी से बच सकते हैं



Thursday, 22 September 2016

Vertigo chakkar aane ki bimari ke top 10 gharelu upchar - chakkar aane par kya kare

Vertigo chakkar aane ki bimari ke top 10 gharelu upchar - chakkar aane par kya kare


Achanak sir ghoom jata hai. Aankhon ke saamne andhera chane lagta hai. Kuch najar nahi aata. Saari dunia ghoomti si najar aati hai. To ese aap chakkar aana kahte hai. Chakkar aane ke kai karan ho sakte hai. Es article me ham aapko batane wale hai chakkar aane par kiye jaane wale gharelu upcharo ke baare me.

Chakkar aane ke gharelu upcharo ke baare me ham aapko batayenge lekin sabse pahle ye jaan lete hai ki chakkar aana kise kahte hai.

Kabhi kabhi kisi ko chakkar aate hai thodi der tak baithe rahne ke baad jaise hi uthte hai, aankhon ke saamne andhera cha jata hai. Aisa lagta hoga ki aapki chaaro aur ki dunia teji se ghoom rahi hai. Yah tab hota hai jab mashtisk me rakt ki purti kam ho jati hai. Raktchap me achanak kami se bhi yah stithi paida ho sakti hai. To chaliye jante hai Vertigo chakkar aane ki bimari ke top 10 gharelu upchar - chakkar aane par kya kare

Vertigo chakkar aane ki bimari ke top 10 gharelu upchar


1. pakne ke baad sukhi hui loki ko dandal ki taraf se kaat de, taki andar ka kokhlapan dikhai de agar sukha guda hoto use nikal de ab esme upar tak paani bhar kar 12 ghante tak rakhe fir hilakar paani nikalkar saaf kapde se chan le. Es paani ko aise bartan me rakhe jisme aap apni naak duba sake. Naak dubokar apni saas jor se kheenche taki paani aapke naak ke andar chad jaye. Paani khichne ke baad naak niche karke aaram kare es upaye se aapko chakkar aane ki samasya hamesha ke liye khatm ho jaigi.

2. Chakkar aane par tulsi ke ras me chini milakar sevan karne se ya tulsi ke patto me sahad milakar chatne se chakkar aana band ho jata hai.

3. Chakkar aane par dhaniya powder 10 gram tatha aole ka powder 10 gram leke ek glass paani me bhigokar rakh de. Subah achchi tarah milakar pile esse chakkar aana band ho jate hai.

4. Sir chakrane par aadha glass paani me do long daal kar usse ubal le aur fir paani ko pile es paani ko peene se fayda milta hai.

5. 10 gram aola, 3 gram kali mirch aur 10 gram batashe ko pees le. 14 dino tak eska sevan kare chakkar aana katm ho jayega. [ Vertigo chakkar aane ki bimari ke top 10 gharelu upchar - chakkar aane par kya kare]

6. Jin logo ko chakkar aate hai unhe dopahar ke bhojan ke 2 ghante pahle aur shaam ke naashte me falo ka juice peena chahiye. Rojana juice peene se chakkar aana band ho jayenge. Lekin dhyan de juice me kisi tarah ka meetha ya masala nahi dale sada juice piye. Juice ki jagah chahe to aap sirf fal bhi kha sakte hai.

7. Naryal ka paani roj peene se bhi chakkar aana band ho jate hai.

8. Tea aur coffee kam piye kiuki jyada tea ya coffee peene se bhi chakkar aate hai.

9. 20 gram munakkha ghee me sekkhkar namak daal kar khane se bhi chakkar aane band ho jate hai.

10. Gharbuje ke beejo ko pees kar ghee me bhoon le. Ab eski thodi thodi matra subah shaam le, esse chakkar aane ki samasya me bohot labh hota hai. [ Vertigo chakkar aane ki bimari ke top 10 gharelu upchar - chakkar aane par kya kare]


Monday, 12 September 2016

Fast and easy weight loss tips in hindi - aasani se vajan ghatane ke tarike

Fast and easy weight loss tips in hindi - aasani se vajan ghatane ke tarike


Apni favourite recepy ko na kehna se lekar, subah jaldi uthkar gym jaane ke liye taiyar ho jana. Aap apna motapa kam karne ke liye apne pure routine ko badalna padta hai. Aap agar soch rahe hai ki aap exercise bhi bohot karte hai, dieting par bhi eksar rahte hai, lekin fir bhi aapka vajan kam nahi ho raha hai. Motapa kam karne ke liye choti baato ka khayal rakhne se aap kafi had tak apne vajan par kaabu kar sakte hai. Chaliye jante hai fast and easy weight loss tips in hindi - motapa kam karne ke aasan tarike.

Fast and easy weight loss tips in hindi - aasani se vajan ghatane ke tarike
Fast and easy weight loss tips in hindi - aasani se vajan ghatane ke tarike


Khane ka tarika

Motapa kam karne ke liye apne aahar par to ham sabhi dhyan dete hi hai, lekin aahar ke sevan ka kya tarika hai. Es baat ko ham seriously nahi lete hai. Khane ka sahi tarika hai pahle salad wa sabjiya, uske baad din ka ya raat ka khana khaye. Aur me aapko ek salah dene chahunga Snacks ko aisi jagah par na rakhe jaha baar - baar aapki najar jaye.

Motapa kam karne ke liye best yoga
Weight loss tips in hindi
Body building tips in hindi

Protein ka sevan

Subah ke naashte me protein ka sevan kare. Milk protein ka ek achcha jariya hai, to subah uthte hi ek glass doodh piye, protein ke sevan ke baad aap apne snacks le sakte hai. 

Exercise bhi jaruri hai


Exercise ko apne routine ka hissa banaye. Subah ho ya shaam kuch time exercise ko bhi jarur de, jaruri nahi ki aap ghanto exercise kare, aadhe ghante ka exercise bhi bahut hai. Agar aapko cycling, game khelne ya dancing ka sokh hai to ye aapke liye bohot achcha hai. 

Fruit juice nahi, fruit 

Doctor's aur dietitian kahte hai ki fruit khana motapa kam karne me bohot madadgar hai. Aamtor par log bajar me milne wale packed juice peete hai jisme mojood mitha vajan ghata nahi balki badha deta hai. Aap sirf friut juice ki jagah sir friut khakar apna vajan kam kar sakte hai. 

Dahi khaye

Dahi khane se bhi vajan kam ho husakta hai. Jyada dahi khane walo ka vajan teji se kam hota hai ya kam badhta hai. Dahi me calcium aur protein fat ko kam karne me madad karta hai, lekin dahi ya to thanda ya skim milk ka bana ho ya fir milk ki malai utar kar jamaye. Dahi raat ko na khaye, subah ya lunch me achcha rahta hai. 

Paryapt neend le

Neend puri hona bohot jaruri hai. Haal hi me neend ke sambandh me hui ek study ke anusaar kam sone se motapa badhane wala jean protsahit hote hai. 9 ghante sone wale ke motapa badhane wale hean so jate hai. Esiliye aap kam se kam 7 - 8 ghante ki neend jarur le.


Saturday, 10 September 2016

Pregnancy ke baad fit rahne ke 15 best tips - How to fit after pregnancy in hindi

Pregnancy ke baad fit rahne ke 15 best tips - How to fit after pregnancy in hindi

Pregnancy ke baad fitrahne ke 15 best tips - how to fit after pregnancy in hindi pregnancy : ke doran mahilao ko bohot dekh bhaal ki jarurat hoti hai. na sirf khan - paan ki balki swasth sambandhi dekh bhal karna bhi bohot jaruri ho jata hai. kya aap jante hai pregnancy ke baad dekh bhaal ki utni hi jarurat hoti hai jitni pregnancy ke doran. pregnancy ke baad mahilo ko sabse adheek jo pareshani hoti hai wah hai vajan kam karne ki. vajan kam karne ke liye pregnant maholao ko exercise karne ki jarurat hoti hai lekin unke saath hi vajan ghatane ke nuskhe apnakar wah pregnancy ke kuch dino baad hi pahle jaisi dikh sakti hai. pregnancy ke baad aahar ka bhi khas khayal rakhna hota hai. To chaliye jante hai pregnancy ke baad fit kaise rahe - How to fit after pregnancy.

Pregnancy ke baad fit kaise rahne ke best 15 tips
Pregnancy ke baad fit rahne ke 15 best tips 


1.  Har mahila chahti hai ki wah pregnancy ke doran aur pregnancy ke baad fir rahe lekin eske liye mehnat karna bhi jaruri hai.

2. pregnancy ke doran exercise karna jitna jaruri hai utna hi pregnancy ke baad bhi exercise karna chahiye. eske liye aap kuch halke - fulke exercise kar sakti hai.

Jogging karne ke fayde
ice cream khane ke fayde aur nuksaan
Chewing gum khane ke fayde


3. pregnancy ke baad furti laane ke liye jaruri hai ki aap sahi poshak le, waise bhi pregnancy ke baad mahilao ko sahi poshak ki jarurat hoti hai. kiuki aise samay me bachche ko feed bhi karane ki jarurat padti hai.

4. mahilao ko apni aahar yojna banani chahiye jisme unhe vitamin, calcium, protein calories wagera ko sahi roop me shamil karna chahiye.

5. pregnancy ke baad bhi junk food se door hi rahna chahiye aur oily khane se bachna chahiye.

6. pregnancy ke baad vajan kam karne ke liye jaruri nahi ki aap khana peena chod de balki aapko santulit matra me poshtik aahar lena chahiye.

7. agar aap chahti hai ki bohot mahnat kiye bager aap apna vajan kam karle to aapko taral padarth jaise juice, falo ka ras, soop, paani wagera ko jyada se jyada matra me lena chahiye.

8. vajan kam karne ke liye medicines lene ki bajaye aako antioxident bharpur cheeze le. aise me aap green tea, lemon tea le sakte hi.

9. aap sharir me paani ki purti karne ke liye tarbooj, gajar, apple wagera poshtik fal aur sabjiya khaye. itna hi nahi adheek se adeek hari sabjiyo ka sevan kare.

Homemade ayurvedic beauty tips 


10. agara aap pregnancy ke baad vajan kam karne ki soch rahi hai to to aapko chahiye ki aap full cream milk ke bajaye toned milk se bani bani dahi, paneer wagera ka sevan kare.

11. pregnancy ke baad aapko fit rahne ke liye aapko chahiye ki subah ka naashta heavy kare lekin eska matlab ye nahi ki aap dopahar ka khana hi na kaye. balki aapko dopahar ka khana bhi khna chahiye lekin subah ke baashte se kam.

12. shaam ko kuch bhi snacks khane ke bajaye poshtik snacks jaise ankurit month, chane wagera le sakte hai aur raat ka khana kam matra me le.

13. aapko chahiye ki raat ko sone se 2 ghante pahle khana khaye aur khane ke baad walking jarur kare. esse aapko atirikt calories burn karne me madad milegi.

14. aapko subah jaldi uthkar exercise karna chahiye ya fir morning walk karna chahie.

15. aap ye bhi dhyan rakhe ki heavy exercise karne se pahle aap doctor ki salah jarur le lijiye.


Thursday, 8 September 2016

sir dard ke liye gharelu ilaaj - home remedy for headache pain in hindi

Sir dard ke liye gharelu ilaaj - home remedy for headache pain in hindi 

sir dard ke liye gharelu ilaaj - home remedy for headache : pain in hindi   sir dard ek aam samasya hai log aksar sir dard ko theek karne ke liye medicines ka sahara lete hai, jinke kuch side effects bhi ho sakte hai. lekin en pain killer medicines ke bajaye ghar ke bane kuch nuskhe estemal kare aapko aaram bhi milega aur enka koi side effects bhi nahi hoga. kai bar sir me aisa dard ho jata hai jise bardasht karna namumkin ho jata hai. sir dard kai karano se hota hai, jisme tanao thakan pramukh hai. halaki kai bar gas ke karan bhi sir me dard hone lagta hai. jab pet ki gas upar chadti hai aur pass nahi ho pati hai to yah dil aur dimaag par asar karti hai, jiske karan sir dard hota hai. to chaliye jante hai sir dard ke liye gharelu uaye - home remedy for head pain headache. 

sir dard ke liye gharelu ilaaj - home remedy for headache pain in hindi
sir dard ke liye gharelu ilaaj - home remedy for headache pain in hindi

Sir dard se bachne ke gharelu upaye 

 sir dard hone par letkar dard wale hisse ko bed ke niche latka dijiye. sir ke jis hisse me dard ho raha ho us taraf wale naak me sarso ke tel ki kuch bunde daal dijiye, uske baad jor se saans ko upar ki taraf khichye esse sir dard se rahat milegi. 

fast muscles gain tips in hindi
gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare
Bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye 

 sir me dard hone par daalchini ko paani ke saath maheen peeskar maathe par patla lep laga lijiye. lep sukh jaane par use hata lijiye.  3 - 4 lep lagane par sir dard band ho jayega. 

 pushkar mool ko chandan ki tarah ghiskar uske lep ko maathe par lagane se sir dard theek hota hai. 

 mulhati ko peeskar churan (चूर्ण) bana lijiye. es churan ko naak ke paas le jakar sunghne se sir dard me rahat milti hai. 

 garam masala chaey ( tea) sir ke dard ke liye ek kargar upaye hai. aap es chaey me long aur tilsi ke kuch patte bhi daal sakte hai. yah chaey neend ko bhagakar dimaag ko sachet karti hai. aap esme thode se adrak ke saath elaichi bhi mila sakte hai. esse aapka sir dard to theek hoga hi saath hi aap tarotaja bhi mahsoos karenge. 

Homemade ayurvedic beauty tips in hindi
Face glow best tips in hindi
face ka rang gora karne ke natural tarike

 sir dard hone par peepal, sonth, mulhati, sofh, kuth en sabko lagbhag 10 - 10 gram lekar peeskar churan bana lijiye. eske baad es churam me ek chammach paani milakar gadha lep bana lijiye. es lep ko maathe par lagaiye. sir dard hona band ho jayega. 

 jyada tanao ya din bhar ki bhaag dorh ki vajah se bhi sir dard ho sakta hai. ese door karne ke liye kisi achche herbal tel se maalish karwaye. maalish ke pahle let ko halka sa garam kar le. tel lagate samay ungliyo ko sir par halke dabao ke saath dhedre - dheere maalish kare. esse na sirf sir dard door hoga balki ess massage se baalo ki jade bhi majboot hoti hai aur baal achchi tarah se badhte hai. 

 Towel ko halke garam paani me daalkar uss towel se dard wale hisso ki maalish kijiye. esse sir dard me fayda hoga. 

 Agar aapke sir dard ka karan ek hang over ki vajah se hai to nimbu paani herbal upchar aapke bade kaam aayega. jyada sharab pee lene se desperation matlab paani kami ho jati hai. aise me jaruri hai ki aap jyada se jyada paani piye. ek glass halke garam paani me nimbu ka ras nikalkar usme thoda sa namak aur chini milakar piye.


Wednesday, 7 September 2016

5 Best Yoga for weight gain in hindi - vajan badhane wale 5 best yoga

5 Best yoga for weight gain in hindi - 5 vajan badhane wale best yoga


Best Yoga for weight gain in hindi - vajan badhane wale best yoga : kya aap bhi apne duble patle shrir se pareshaan hai. aap bohot khate hai achchi lifestyle jeete hai aur aapne vajan badhane ke liye saare nuskhe aajma liye lekin fir bhi aapka vajan badh hi nahi raha hai to yoga ko aap jarur try kare. kuch logo ko lagta hai ki yoga sirf vajan kam karne ke liye hota hai lekin me aapko bata du yoga vajan kam karne me labhdayak to hai hi aur saath hi yoga vajan badhane me bhi bohot asardar hai. yoga vajan badhane me bohot hi asardar hai agar aap hamare bataye gaye yoga aasans ko achche se karenge to aapka vajan jarur badhega. to chaliye jante hai Best Yoga for weight gain in hindi - vajan badhane wale best yoga

5 Best Yoga for weight gain in hindi -  vajan badhane wale 5 best yoga
5 Best Yoga for weight gain in hindi -  vajan badhane wale 5 best yoga


Surya namaskar 

1. surya namaskar ke liye sabse pahle seedhe khade ho kar dono haath jodkar namaskar ki mudra me aa jaye.

2. ab aap apne sharir par dabao daalte huwe adhik se adhik niche jukne ki koshish kare aur aap apne pairo ko chuwe.

3. eske baad aap normal ho jaye fir ek pair ko niche ki taraf kare aur dusre ko aage ki taraf kar apna ghutna morh le aur esi position me kuch der rahne ki koshish kare.

surya namaskar vajan badhane ke liye bohot achcha yoga hai. ye ek aisa yoga hai jo shareer ko furteela banata hai. surya namaskar ke 12 positions hote hai aur aap har position ko kam se kam 5 second karne ki koshish kare. agar aap din me 2 bar surya namaskar ke aasan karte hai to aapko bohot fayeda hoga. [ 5 Best Yoga for weight gain in hindi -  vajan badhane wale 5 best yoga]

Fast muscles gain tips in hindi
Body building tips in hindi
gym guide and tips in hindi

Sarvagasana


1. sarvagasana karne ke liye sabse pahle  niche jameen par so jaye.

2. jaisa aapko photo me dikh raha hai ab dheere-dheere peron ko sir ke upar tak le aayein.

agar aap apna vajan teji se badhana chahte hai to aapko ye aasan jarur karna chahiye. ese aap subah me kare to aur bhi achcha rahega.


Bhujangasana 

1. bhujangasana karne ke liye sabse pahle niche jameen par kuch bicha kar pet ke bal let jaye.

2. ab apne dono haatho ke sahare kamar ke upar ke sharir ko upar ki aur uthaye

3. ab apne chehre ko jitna ho sake upar ki aur uthaye

Vajan badhane ke liye es aasan ko bhi bohot faydemand mana jata hai.

Matyasana 

1. matyasana karne ke liye sabse pahle jaamen par kuch bicha kar padmasana ki mudra me baith jaye. 

2. ab apne dono haatho se pairo ko pakad le. 

3. ab peeche ki aur pura jhuke

es aasan ko karte waqt sharir machli ki tarah dikhta hai esliye ese matyasana kahte hai ese fish pose ke naam se bhi jana nata hai. Jin logo kobhukhkam lagti hai unke liye ye aasan bhut hi faydemand hai. [ 5 Best Yoga for weight gain in hindi -  vajan badhane wale 5 best yoga] 

Savasana

1. savasana karne ke liye sabse pahle niche peeth ke bal seedha let jaye.

2. ab apne aankho ko band karke apne haath pao ko dheela chodh de.

es aasan ko karna bohot hi aasan hai. es aasan ko karne se aapki thakan to door hoti hi hai aur saath hi aapka vajan bhi badhta hai. aap chahe to es aasan ko 30 minute tak bhi kar sakte hai. [
5 Best Yoga for weight gain in hindi -  vajan badhane wale 5 best yoga]

ye jarur padhe

Weight gain tips in hindi

Sunday, 4 September 2016

Fast muscles gain tips in hindi - teji se muscles kaise banaye

Fast muscles gain tips in hindi - teji se muscles kaise banaye 


Fast muscles gain tips in hindi - teji se muscles kaise banaye : aksar mens me teji se muscles banane ki chahat hoti hai. eske liye wo kai tarah ke upaye apnate hai lekin afhsos ki baat yah hai ki wah kamyab nahi ho pate hai. eske piche sabse bada reason hai janakri ka abhao. muscles banane ke liye gym jakar pasina bahana hi kafi nahi hota hai. eske liye aapko sahi khaan paan ke saath swasth jeevanshaili jeena chahaiye. aise hi kuch mens ke liye jo teji se muscles banan chahte hai unke liye aaj ham lekar aaye hai easy tips. to chaliye jante hai Fast muscles gain tips in hindi - teji se muscles kaise banaye. 

Fast muscles gain tips in hindi - teji se muscles kaise banaye
Fast muscles gain tips in hindi - teji se muscles kaise banaye

Gym ka shedule

aap chahe to hafte me 4 ya 5 din gym jaa sakte hai. apne trainer dwara bataye gaye exercise kare, lekin ek din me jyada exercise karne se body nahi banegi esme thoda samay to lagega hi. sharir ko garm rakhne ke liye theek se kapde pahankar exercise kare. kisi bhi surat me kul milakar 25 set se aage na jaaye. over exercise karne se bache.

Crunch exercise 

farsh par let kar saans andar lete huwe sharir ka upri hissa ( shoulder ) partial roop se uthaye taki aap mahsoos kar sake ki maaspeshiyo ke dwara kiya gaya hai. es exercise ke liye haatho ko seene par rakha ja sakta hai. es exercise ko 10 - 12 bar pratyek 6 second ke uthi awastha tatha pratyek 6 second ke vishram awastha ke saath hafte me 5 din kiya jata hai. haatho ko sir ke peeche rakhne par kandhe par adik bhaar padta hai tatha prarambhik awastha me shighra thakan wa kamar dard ho sakta hai. [ Fast muscles gain tips in hindi - teji se muscles kaise banaye ]


Ups down

dari par let kar pairo ko ghutno se modkar, panje farsh par rakhe. haatho ko sir ke peeche ya seene par rakh aur kandhe se sharir ka upari hissa kamar ke saath uthakar ghutno tak laane ka prayas kare. es prakar udar ki manspeshiya apni puri sakti se karya karegi aur unme sakti ka sanchar hoga. pratyek sit-up ko saas chodte huwe vishram ki purwa awastha tak jana chahiye. practice hone par sit-ups ke liye seene par medicine ball ya anya vajan rakha ja sakta hai.

Legs lift

farsh par seedhe rahkar, pair seedhe wa hath, sharir ko dono aur rakhe. pao ko seedha ek saath uthakar ghutno se mode bina 90° cone tak kamar ke seedhe upar tak laaye, 6 - 10 second tak rok kar rakhe, vishram ki purwa awastha me wapas laote. lagatar es vyayam ko karne se pairo ki maaspeshiyo ke saath pet ke nichle hisse ko awashyak shakti pradan karta hai. [ Fast muscles gain tips in hindi - teji se muscles kaise banaye ]

Kaisa ho aahar

muscles banane ke liye khane me protein ko jarur shamil kare. doodh, ande, paneer, kele, non veg aadi ka sevan kar sakte hai. 

subah naashte me chae ya doodh le sakte hai., cheez lagai hui 2 bread pees, 4 ande ke omlet ke saath 1 glass doodh. 

dopahar ke khane se pehle 1 glass falo ka juice, 1 cup giridar sukhe mewe kha sakte hai. dopahar ke khane me chapatiya, gaadhi dal, sabjiya, chawal, ek cup dahi aur salad khaye.

 shaam ke naashte me 1 vegetables sandwich ya chatni saambhar ke saath 2 idli. 

raat ke khane me 4 chapatiya ya 3 parathe, 2 katori daal ya paneer ki sabji ya 100 gram meat ya fish, ek katori sabji. sote samay ek glass doodh le. [ Fast muscles gain tips in hindi - teji se muscles kaise banaye ]


Friday, 2 September 2016

Benefits of jogging in hindi - jogging karne ke fayde

Benefits of jogging in hindi - jogging karne ke fayde 


Benefits of jogging in hindi - jogging karne ke fayde : agar aap achchi sehat chahte hai to aapko jogging karna chahiye. jogging karne se sharir healthy rahta hai aur aapko kai tarah ki bimariyo se chutkara milta hai. jogging karne se na sirf aapki sharir healthy rahta hai balki aapki age bhi badhti hai. jogging se aap apni osat aayu se 5 - 6  saal ki age tak badha bhi sakte hai. ek week 1 se 2.5 ghante jogging sehat ke liye bohot faydemand hai.  jogging karne se sharir me sudol banta hai aur kai tarah ki bimariyo se chutkara milta hai. es liye jogging ko apne dincharya me jarur shamil kare. to chaliye jante hai benefits of jogging in hindi - jogging karne ke fayde 

Benefits of jogging in hindi - jogging karne ke fayde
Benefits of jogging in hindi - jogging karne ke fayde 

Jogging karne ke fayde


Jogging karne se sharir ka blood communication achcha hota hai jisse dil majboot rahta hai.

har roj jogging karne se sharir me energy ka communication hota hai jisse dinbhar aap fresh rahte hai.

jogging karne se sharir ka pura exercise ho jata hai jisse achchi neend aati hai. jo ki health ke liye bahut jaruri hai.

jogging karne se sharir ke muscles aur bones majbut hoti hai.

niyamit  jogging karne se sharir se calories burn hoti hai aur sharir me atirikt charbi jama nahi hoti hai, jisse motapa nahi hota hai.

jogging pachan sambadhit problems ko door karta hai aur esse pachan tantra sakriya rahta hai.

Benefits of ice cream in hindi
Benefits of chewing gum in hindi
Benefits of aloe vera juice in hindi

Jogging karte waqt saodhaniya


jogging ek powerful exercise hai ese har ayu aur warg ke log nahi kar sakte.

jogging karte waqt kuch sawdhaniya baratni chahiye, nahi to ye aapke liye khatarnak ho sakta hai.

johging ki suruwat kar rahe hai to aaram se aur dheere dheere jogging kijiye jisse aapke dil par  jor na pade.

jogging ke doran halke aur loose kapde pahniye jisse aapko aaram milte hai.

suruwat me jogging karne ka samay kam hi rahne dijiye, jaise jaise abhyas badhta jayga waise waise samay badhate rahiye.

jogging ke doran sadharan paani ki jagah glucose paani ke botal ko apne saath rakhiye.

agar aapko koi bimari hai to jogging karne se pahle doctor se salah jarur le le.

Body building tips in hindi
Gym guide and tips in hindi
weight gain tips in hindi 

jogging ko intresting banaye

jogging kisi bhi samay kiya ja sakta hai lekin subah ka samay jyada achcha hota hai.

jogging karne ka maza tabhi aata hai jab entertainment ke saath kiya jaye. esse aapko bored nahi lagega.

jogging ke waqt tej sound wala music sune jisse jogging ke waqt aapko energy milegi aur aap teji se jogging kar paayenge.

aisi jagah par jogging karne se bache jaha traffic ho esse jogging ke doran aapko problems hogi air pollution se aapke health ko nuksaan pahuchega.

jogging ek hi raaste par mat padhiye balki raasta badalte rahiye, naye raaste par jogging karne se aapko achchi feeling hogi.

niyamit roop se jogging karne ke bohot fayde hai. jogging se aap bimariyo se door rahte hai aur aapka sharir sudol aur health bana rahta hai. behter aur achche health ke liye jogging ko apne dincharya me shamil kijiye.


Wednesday, 31 August 2016

Benefits of ice cream in hindi - ice cream khane ke fayde aur nuksaan

Benefits of ice cream in hindi - ice cream khane ke fayde aur nuksaan 


Benefits of ice cream in hindi - ice cream khane ke fayde aur nuksaan : Agar aapko ice cream ka taste achcha lagta hai aur yah aapki adat ban chuka hai to ye aapke liye achchi khabar hai kiuki ice cream aapki sehat ke liye bohot faydemand sabit ho sakta hai. ice cream kai saare flavour me aati hai aur har ek falvour ka ek apna hi maza hota hai. ice cream dairy product se hi banta hai jisme nutrition element mojood hota hai jo ki sharir ko healthy banate hai. ice cream me vitamin aur protein bharpur matra me rahta hai. to chaliye jante hai benefits of ice cream in hindi - ice cream khane ke fayde. 


Benefits of ice cream in hindi - ice cream khane ke fayde aur nuksaan
Benefits of ice cream in hindi - ice cream khane ke fayde aur nuksaan 


Ice cream me mojood element aur unke health gain 

Calcium - milk ke product me jyada matra me calcium paya jata hai aur calcium khane se bones majbut hote hai. sharir ke achche se kaam karte hai calcium ki jarurat hoti hai. sharir me mojood 99% calcium bones me paya jata hai aur dairy product khane se sharir ko sharir ko calcium paryapt matra me milta hai. har roj ice cream jaise milk product khane se ऑस्टियोपोरोसिस ( es bimary me bones patle aur kamjor ho jati hai ) ka khatra kam ho jata hai. calcium sirf haddiyo ke liye hi nahi hota hai balki ye vajan bhi kam karta hai.  [ Benefits of ice cream in hindi - ice cream khane ke fayde aur nuksaan ]

Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde
Aloe vera ka juice pine ke fayde


protein - milk ke other product ki tarah, ice cream bhi protein ka achcha jariya hai. protein sharir ke hisso - bones, muscles, blood aur skin ke liye faydemand hota hai. protein khane se tissue aur muscles majboot hote hai. sharir ke kuch hisse jaise nakhun, baal protein se hi bane hote hai aur ice cream khane se sharir ko protien milta hai. exercise aur yoga ke baad ice cream khaya ja sakta hai. 

Vitamin - ice cream me vitamin A, B-2 aur B-12 paya jata hai. vitamin A skin, bones aur diseases - buffering capacity ke liye achcha hota hai. Vitamin A aankho ki roshni badhata hai. Vitamin B-2 air B-12 metabolism ko santulit rakhta hai aur B-12 vajan kam karne me bhi helpful hota hai. agar aapko doodh pine me problem hoti hai to ice cream kha kar vitamin ki kami ko pura kiya ja sakta hai. [ Benefits of ice cream in hindi - ice cream khane ke fayde aur nuksaan ]

Gym guide and tips in hindi 
bodybuilding tips in hindi


ice cream ke kai falvour hote hai. har bar naw flavour ka estemal kiya ja sakta hai jisse naya taste mile. fruits ice cream me kai tarah ke sukhe mewe daale jate hai jinme nutricious element hote hai bharpur matra me mojood hote hai. lunch aur dinner ke saath ice cream ko desert ke roop me liya ja sakta hai. yoga aur exercise karte samay ice khaya ja sakta hai jisse sharir ko enery milegi. ice cream ko juice me dalkar bhi khaya ja sakta hai mango shake aur banan shake ne ice ka estemal hota hai. 

Ice cream khane ke nuksaan 

ice cream khana sehat ke liye nuksaandayak bhi ho sakta hai. ice cream me sugar hota hai aur adik matra me calories paayi jati hai, eske alawa kuch ice cream jinme me butter aur chocolate hota hai ye sehat ke liye nuksaandayak hote hai. es tarah ki ice cream khane se diabetes, motape ki samasya ho sakti hai. 

jyada ice cream khane se nuksaan bhi ho sakta hai. kharab qwality ki ice cream khane se kai bimariya bhi ho sakti hai. eske alawa food poisoning, sir dard jaisi samsya bhi ho sakti hai. eske alawa ice cream khane se pahle uski jaanch kar le.


Tuesday, 30 August 2016

Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde

Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde


Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde : aajkal jyadatar log chewing gum ka estemal karte hai. lekin aapko ye nahi pata hoga ki  chewing gum aapke liye kitna faydemand hai. esse aapke sharir ke saath saath dimag bhi healthy rehta hai. to chaliye jante hai benefits of chewing gum - chewing gum ke fayde. 


Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde
Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde 


ek research me saamne aaya hai ki chewing gum ke kai fayde hai esse aapke daanto me hone wali samasya se bach sakte hai. 


Acidity me faydemand 

chewing gum se pet me hone wali gas ki samsya se bacha ja sakta hai. jab hum chewing gum ko chabate hai to usse banne wali laar pet me hone wali acidity se chutkara dilati hai, saath hi chewing gum se seene me hone wali jalan se bhi rahat milti hai. [ Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde] 



Vajan kam karne me faydemand 

chewing gum khakar aap motapa badhane wale snacks se bach sakte hai. jisse aapko motape ki samasya nahi hoti hai jab aapke mooh me kuch rahta hai to bhukh kam mahsoos hoti hai aur aap snacks se bach jate hai jisse aapke sharir ko lagbhag 40 calorie milti hai jisse motapa badh sakta hai. esliye agar aapko motapa kam karna hai to aap chewing gum ka estemal kar sakte hai. 


Concentration me faydemand

ek research me saamne aaya hai ki chewing gum khane se aapki concentration badhti hai aur aap apne kaam ko theek se pura kar sakte hai. research ke mutabik sugar free chewing gum khane se bachcho ki concentration badhti hai aur jisse wo ach he number se pass hote hai. [ Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde] 

Thakan me faydemand

ek serve ke mutabik kuch athlete chewing gum ke jariye apna thakan door karte hai. Office, school ya ghar par hone wali thakan ko aap chewing gum se door kar sakte hai. 


Tooth ke liye faydemand 

sugar free gum se aapke thooth ke suraksa hoti hai. aur wo kharab hone se bachte hai. har baar khane ke baad 20 minute chewing gum khane se mooh ke sabhi bacteria door ho jate hai. [ Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde] 



Monday, 29 August 2016

Homemade ayurvedic beauty tips in hindi

Homemade ayurvedic beauty tips in hindi 


Homemade ayurvedic beauty tips in hindi : hi friends ek baar phir aapka swagat hai healthwalebaba par aur aaj me es post me aap logo ko Homemade ayurvedic beauty tips ke bare me batane wala hu. jaha ayurveda ki baat aati hai matlab no side effects and no reaction. ayurveda kabhi harmful nahi hota eske koi side effects nahi hote hai aur ayurveda se hame fast result milta hai. to chaliye jante hai homemade  ayurvedic beauty tips in hindi.
Homemade ayurvedic beauty tips in hindi


chamakdar ( चमकदार ) aankho ke liye

subah uthte hi har roj thande paani se aankhen dhoni chahiye. athwa trifala ( त्रिफला ) ya neem ki patti raat me pani me bhigo de, es paani ko chaan kar aankhe dhone se aankho ki roshni badti hai.

sarso ke tel se bana kajal lagane aur gulab jal ka fhaha aankho par rakhne se aankhe saaf rahti hai. adhik der tak padhte - likhte rahne se aankho me dard hone lagta hai. esiliye bich - bich me apne hatheliyo ( हथेलियो ) ko apne aankho par rakhe.

aankho ko baar - baar upar - niche daye ( दाएं ) - baye (बाएं ) tircha aur gol ghumakar aankho ka exercise kare. hari taaji sabjiya, gajar, chukundar, doodh adi se bane padarth ghee ( घी ) adi ke sevan se se aankho ki roshni badti hai. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]

Gym guide and tips in hindi gym join karne ke baad kya kare
Bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye
Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye


Aankho ke niche kaale dhabbe

aankho ke niche kaale dhabbe hona aam samasya hai, kam sone adhik thakan hone, kamjori ya neend na aane ki bimari ke karan hote hai. neend lena swasth ( स्वास्थ्य ) ke liye bohot jaruri hai. yadi aapko neend nahi aati, aapko thakawat rahti hai to roj subah ghar me hi exercise karni chahiye.

aankho ki charo tarak ki skin bohot najuk hoti hai. esliye beauty cream lagate samay bohot saodhani ( सावधानी ) baratni chahiye. sone se pahle skin ko nami dene wali cream ya lotion ka estemal karni chahiye. rui ( रूई ) ke fohe ( फोहे ) ko aankho ke ird ( ईर्द ) - gird ( गिर्द ) lagaye. aankho ke liye liye badam cream sabse achchi hoti hai. esse rang bhi saaf hota hai aur saath hi skin ka poshan hota hai. koi bhi beauty cream aankho wale area par jyada der nahi lagana chahiye. face par lagaya jane wala paste aankho ke aas-pass nahi lagana chahiye. aankho par kheere ka ras, aloo ka ras ya gulab jal ko rui ke fohe me bhigo kar aankho par rakhna chahiye. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]


khoobsurat baal

ber (बैर ) ki pattiya ko bareek pees kar usme nimbu nimbu ka ras milakar baalo me laga le wa 2 ghanto baad baalo ko paani se dho le. ese ek mahine karne se naye baal aa jate hai aur baal jhadna (झड़ना ) band ho jate hai.

badh ( बड़ ) ke doodh me ek nimbu ka ras milakar sir me aadhe ghante tak laga rahne de. fir sir ko gungune paani se dho le. esse balo ka jadhna kam ho jata hai aur baal teji se badhte hai.

gudhhal ( गुड़हल ) ki pattiya natural hair conditinor ka kaam deti hai. aur esse baalo ki motai badhti hai. baal samay se pahle safed nahi hote. esse baalo ka jhadhna bhi band hota hai. sir ki twacha ki anek kamiya esse door hoti hai. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]

2 chammach ( चम्मच ) glycerine, 100 gram dahi, do chammach sirka ( सिरका ), 2 chammach naryal ka tel milakar paste bana le. es paste ko aadhe ghante tak baalo me lagaye fir paani se baalo ko saaf kare. baalo me kuch der ke liye khatti ( खट्टी ) dahi lagaye fir gungune paani se dho le. baal ekdam mulayam ho jayengr.

weight loss tips in hindi - motapa kam kaise kare
Motapa kam karne ke best yoga poses
Aloe vera ka juice pine ke 7 behtareen fayede


healthy skin ke liye

agar aapki skin oily ya samanya hai, to thande mausam ka uspar jyada asar nahi padega. agar aapki skin rukhi ( रूखी ) ya sushk ( शुष्क ) hai to aapko thand ke mausam me aapko apne skin ki jyada dekh rekh karni padegi. thand ke mausam me thandi hawao ( हवाओं ) ke karan skin fat ( फट ) jati hai ya sushk ho jati hai. sabse jyada  chehre ke skin par hi eska prabhao padta hai. skin ki nami banaye rakhna mushkil nahi hai. aap mausam ke anusar facial karke eske kuprabhao ( कुप्रभावो ) se bach sakti hai. to  chaliye jante hai thand ke mausam facial kaise kare aur kin chijo ka estemal kare. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]

sabse pahle chehre ki skin cleansing milk se saaf karke paani se dho le. ab barabar matra me glycerine aur gulab jal milakar usse ( उससे  ) chehre ki halki malish kare

gaalo par golai ( गोलाई ) se malish karte huwe ( हुए ) haath niche se upar ki aur le jaye. es prakriya ( प्रक्रिया ) se rakt ( रक्त ) sanchar badhega aur gaalo ka gulabipan bana rahega. lalaat ( ललाट ) ya maathe ( माथे ) par maalish karte samay left se right ki taraf haatho ko tedha karke chalaye. aankho ki najakat ka dhyan rakhte huwe ungliyo ( उंगलियों ) ko golai se es tarah ghumaye ki glycerine aankho me na jaane paye, kiuki yah aankho me jalan paida kar sakti hai.

glycerine ki maalish hontho ( होंठों ) ke liye sardiyo me jaruri hai. esse sukhi twacha nam ho jati hai aur fate ( फटे ) hontho ko rahat milti hai. hontho ki malish ek baar bai aur fir ek dai aur se kare. naak ke liye bhi yah behtareen massage hai. esse naak ki hard skin bhi mulayam hokar chamakne lagegi. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]

sardiyo me kewal yah massage din me samay milne par 2-3 bar aapne kar liye to aapki skin ki chamak dekhne layak hogi.

en dino lagne wale face pack bhi thode alag hote hai. sabse achcha face pack laal chandan ka mana jata hai. esme taji ( ताजी ) malai etni matra me milaye ki gaadha ( गाड़ा ) paste ban jaye. es paste ko niche se upar ki aur golai me haath chalate huwe gardan aur pure chehre par lagaye.  15 - 20 minute baad halke garam paani se dho le esse skin ka rukha pan door ho jayga.

sushk skin hone par badam ke tel me nimbu ke ras ke 2 - 3 bunde daale aur chandan ka powder mix kare. ese chehre par lagaye. 5 - 7 minute baad ese halke haatho se ragadte ( रगड़ते ) huwe utar le aur halke garam paani se chehra dho le. esse skin komalta badhegi aur saath hi sawlapan ( सांवलापन ) bhi khatm hoga.

skin ke oily hone par sahad me besan milakar halke haatho se chehre par male aur baad me dho le. besan extra oil ko khatm karega aur sahad skin ke dheele pan ko khatm karke kasao ( कसाव ) layega, skin ki chamak bhi sahad banaye rakhega. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]

Oily skin ke liye gharelu nuskhe
Face glowing best tips in hindi
pimple treatment in hindi - pimples hatane ke tarike


hontho ( होंठो ) ka kalapan ( कालापन )

hontho ko khoobsurat banane ke liye aap kiya nahi karti. lipstick, lip balm, moisturisef aur na jane kya kya. lekin hontho par lagaye jane wale kai utpad ( उत्पाद ) asal me unhe khoobsurat banane ke bajaye lambe samay me unhe nuksaan pohcha sakta hai. agar aap bhi apne hontho ke fatne aur kaalepan se pareshan hai to niche aapko kuch natural upaye diye hai jinhe apnakar aap apne pareshani se chuthkara pa sakte hai.

Doodk ki malai : hontho ka rukhapan hatane ke liye thodi si malai me chutki bhar haldi milakar niyamait rup se dhire - dhire hontho par maalish kare. aap dekhenge ki es gharelu upaye se kuch hi dino me aapke honth mulayam aur gulabi hone lagenge.

Kesar : hontho ka kalapan door karne ke liye kachche doodh me kesar peeskar hontho par male. eske estemal se hontho ka kalapan to door hota hi hai saath hi we pahle se jyada attractive lagne lagte hai. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]

 Sahad : shahad ke estemal se kuch hi dino me aapke honth chamakdar aur mulayam ho jayenge. eske liye sahad ko apne ungli par leke dhire dhire apne hontho par male ya me thoda sa suhaga milakar apne hontho par lagaye ese aap din me do baar kare aur aapko result mil jayega.



baalo ka jhadna ( झड़ना ) 

baalo ka jhadna ek aisi samasya hai jo kisi ko bhi tension me daal sakti hai. aaj har dusre vyakti ko es samasya se jujhna ( जूझना ) padta hai to niche diye ayurvedic tarike aap jarur apnaiye.

naryal ke tel me kapoor milaye aur yah achchi tarah baalo me aur sir par lagaye. kuch hi dino me dandruff ki samasya se rahat milegi. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]

baal jhadhte hai to garam jeatun ( जैतून ) ek chammach sahad aur ek chammach daalchini ( दालचीनी ) ka paste banaye. nahane se pahle es paste ko sir par lagaye aur 15 minute baad garam paani se sir dhoye. aisa karne par kuch hi dini me baal jhadne ki samsya door ho jayegi.

agar aap nashile ( नशीले ) padarth sevan ya smoking karte hai to band kar de. baal jhadna jald hi kam ho jayenge.

sarso ke tel me mehndi ki pattiyo ko daalkar garam kare. thanda karke baalo me lagaye, esse baalo ka jhadna ruk jayga.

Aamtor par sahad aasani se sabhi ke yaha mil jata hai. sahad ke oshdhi ( औषधि ) gun sabhi jaante hai. sahad ki tasir thandi hoti hai aur yah kai bimariyo ko door karne me kargar hai. sahad se baalo ka jhadna bhi roka ja sakta hai. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]




Friday, 26 August 2016

Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare

Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare


Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare : fitness aajkal jarurat ke alawa trend bhi banta ja raha hai. eske liye diet se lekar yog, aerobics, dance therapy aur anya kai madhyam popular hai. aisa hi ek bohot popular madhyam hai gym lekin gym join karte samay khuch baato ka dhyan bhi rakhe ki aap sahi tariko ka palan kar rahe hai. aur saath hi  es baat ka bhi dhyaan rakhe ki aap jo gym join kar rahe hai wo accha hai.

Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare
Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare

Kaisa gym select kare

* gym ko select karte samay es baat ko sabse pahle apne dimaag me rakhe ki wah appke lifestyle ke anurup ho, use promote karne wala ho. gym aisa na ho jo aapke liye sirf medical program ki bhumika ada kare.

* gym me estemal hone wala body equipment branded aur high quality ke hone chahiye. es tarah ke equipment dwara hi takniki dhang se vikas kiya ja sakta hai. sahi muscles ke devolopment ke liye yah equipment safe hone chahiye taki esse kisi tarah ki accident hone ka khatra na rahe. [ Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare ]

* gym me trained professional ke alawa fitness program ko scientific approach karne ki suvidha bhi honi chahiye.

*Bodybuilding tips in hindi - body kaise bananye
*weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye
*How to increase height in hindi


Gym ja rahe hai to ye na kare

1. suruwat me hi bhari wajan na uthaye aisa karne se aapko fayda kam aur nuksaan jyada hoga. yah baat ko dhyaan me rakhe ki jaha bhari wajan uthane se body ka aakar badhta hai wahi halka wajan manspeshiyo ko sahi aakar me dhalne me madad karta hai.

 2. youngsters body banane ki chahat me steroids le to rahe hai, lekin eske nuksaan bhi bohot hai. halaki body building ke liye protien richdiet lene ki salah di jati hai,lekin eska fayda workout karne par hi hota hai. Tabhi protein diet musclesme badalti hai, warna esme bhi fat deposit hone lagta hai. esi ke saath body banane ke liye shortcut ko bhi theek nahi mana jata hai.

 3. Body banane ke liye youngsters etne crazy hai ki eske liye we supplements bhi khub lete hai. halaki wo es baat se anjan hai ki estarah wo kai problems ko dawat de sakte hai. en supplements se body to ban jati hai, lekin saath hi kai tarah ki problems bhi hone lagti hai. Doctors aur fitness expert ki maane to regular en dawai ko lene wale youngsters infernity ka sikar bhi ho sakte hai. yahi nahi, enke istemal se kidney failiure, heart aur lever ke judi tamam samasya ho sakti hai. esiliye supplements ka estemal na kare, balki apne aahar ki matra aur quality  sahi rakhe. [ Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare ]


Gym ja rahe hai to ye jarur kare

1. chart banaye : body building ke liye samay chat jarur banaye. kitna time gym ko dena hai aur kitna baki dincharya ko, ye nirdharit kare. Taki aap jitna samay gym me rahe utna samay apna pura dhyan kasrat pe hi laga sake.

2. diet par dhyan de : body building ke suruwat me sabse pahle diet par dhyande. achche body builder ko kasrat ke hisaab se hi protein lena chahiye, protein utna hi le jitna aap pacha sake.

3. Poshtik aahar le : agar aap non vegiterian hai aur body building ka sokh rakhte hai to anda, matan, fish jaise aahar ko apne khane me shamil kar sakte hai aur body bana sakte hai.

*weight loss tips in hindi - motapa kam kaise kare
*motapa kam karne wale yogasan
*aloe vera juice pine ke fayde


Gym me aise na kare suruwat

body banane ka sokh naya nahi lekin kai bar josh josh me aisi galtiya ho jati hai jisse lene ke dene padh jate hai. pehli bar gym jaane wale log jyadatar aisi galtiya karte hai. gym me khuch galtiyo ko dohrana apne sharir ko aur kharab karne jaisa hai. gym me en baato ka khas khayal rakhe......

jyadatar yuva nausikhiye gym me pehle din hi sabkuch paa lena chahte hai. eske liye wo pura josh nikal dete hai, yah jane bina ki exercise ke liye kitne set chaihiye aur kya yah unke liye jaruri hai bhi. dumbles, ab crunch machine, chest press, machine koi bhi ho suruwati hafte me ese 1 set ( 10-15 bar)  hi rakhe.

dhyan rakhiye aap jis kisi ke body ko dekh kar inspired hai usne ese ek din me hi nahi hasil kiya hai. eske piche saalo ki mehnat aur sahi disha ki jarurat hoti hai. gym ke liye apna routine nirdharit jarur kare. chest, shoulder, bysapes sharir ke alag alag hisse ke liye 1-1 din nirdharit kare aur usse sambandhit machine par nirdharit din hi mehnat kare.  [Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare ]


Bohot jyada workout na kare

kisi bhi kam ko bohot jyada karne se wah aapke sharir aur dimag ko thakata hai aur akhir me wo aapko bor lagne lagta hai, fir chahe wo faydemand hi kiu na ho. workout session ke doran aapko apne sharir ko aaram dena hoga taki usse hui thakan adi ki bharpai ho sake. apne workout routine se niamit tor par khuch din hi aapki chutti rakhe taki aap khud ko relax kar sake aur apni khoi energy ko wapas la sake. esse aapka man bhi exercise karne me lagega.


Khane par dhyan de

kai log enery level khane ko bhi bor hone ki wajah batate hai. accha balanced kahana aapka energy level badhata hai aur aapko accha dikhne aur mehsoos karne ke liye prerit karta hai.


Friends ke saath exercise kare

friends ka saath aapko prerit karta hai aur aapko taja ghatnao se rubaru rakhne me madadgar sabit hota hai. eske alawa agar aapke saath koi exercise karta hai to wah aapko aur aap unko exercise ke liye prerit kar sakte hai.


Workout me badlao late rahe

6 hafte tak ek hi exercise karne se aapki calories 25 % kam burn hone lagti hai. boriyat se bachne ke liye exercise program me badlao late rahe. kai tarah ki exercise naye dhang se karne par aapko exercise karne me maza to ayega hi saath aapke khuch naye muscle ka estemal bhi hoga, jo ki aapke sharir ko accha result dega. [ Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare ]



Saturday, 20 August 2016

bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye

Bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye 


Bodybuilding tips in hindi body kaise bananye -  bodybuilding tips in hindi :  Hi friends aapka swagat hai Healthwalebaba.blogspot.com  pe mujhe ummid hai aapko mere post pasand aa rahe honge aur aaj me aapko batane wala hu ki body kaise banaye. [ bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye] 

Fitness aaj kal jarurat ke alawa trend bhi banta ja raha hai. Aaj har koi healthy aur fit body chahta hai aur chahe bhi kiu na agar aap duble patle hai to aapko har jagah sarmindagi ka samna karna pad sakta hai. body kaise banau, mujhe body banana hai, body banane ke liye kya karu ye sawal mujhse bohot logone pucha hai aur esiliye aaj me aap logo full detail me batane wala hu ki ek healthy aur fit body kaise banaye. 



bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye
bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye 


Gym join kare

Agar aap apni body sach me banana chahte hai to aapko gym join karna chahiye. agar aap gym trainer ki baat achche se manenge to aapko healthy and fit body banane se koi nahi rok sakta. aap gym join karne se pahle ye jarur padhe Gym guide and tips in hindi


Puri neend le

achchi body ke liye achchi neend ki bhi bohot jarurat hoti hai Neend ka effect seedha humare health par hota hai. esiliye 7-8 ghante jarur soye. raat 9 se subah 5 baje ka samay sone ke liye sabse sahi time hota hai. [ bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye] 

vajan badhane ke gharelu upaye
How to increase height in hindi - jaldi height badhane ke liye kya kare
Weight gain tips in hindi




jyada paani piye

Healthy rehne ke liye paryapt paani peena bohot jaruri hai. vaise to sehat ke hisab se paani peena chahiye eska bhi ek formula hota hai lekin wo jaruri nahi. waise bhi aap harmesa gin-gin ke to paani nahi pee sakte na. esliye aap din 8-10 glass ya esse bhi jyada paani piye aap jitna paani piyenge aapko utna hi fayda hoga. 



khane ke baad paani na piye

khana khane ke turant baad ya khane se pehle paani na piye. 
khana khane ka baad ya khane ke bich me paani peene se khana pachta nahi hai balki sadh jata hai aur aapke sharir ko paryapt calories nahi milti hai. esliye khane se 1 ghante pehle aur 1 ghante baad hi paani piye. 


aloe vera ka juice pine ke faide
Benefits of chewing gum in hindi - chewing gum ke fayde
Benefits of ice cream in hindi - ice cream ke fayde aur nuksaan



Hari sabjiya khaye

bhindi aur anya hari sabjiya gym jaane walo ke liye bohot faydemand hoti hai. hari sabjiyo me anti oxidents ki matra bharpur hoti hai. hari sabjiya khane se manshpeshiya acche se kaam karti hai aur eske alawa hari sabjiya workout ke baad sharir ko relax bhi pradan karta hai. 


Vegetables and fruits 

muscles ko majboot banane ke liye aapko Vegetables and fruits ko bharpur matra me sevan karna chahiye. enme vitamin, minerals aur kai poshak pattwa aur protien paaye jate hai jo ki muscles ko majboot banane me madad karte hai. 


Saalman fish

roj din me 2 baar saalman khane se ye apke sharir me protein ki kami ko pura karega aur aapka vajan bhi badhne lagega. 


Anda (egg)  khaye

agar aap non vegetarian hai to ande ko apne niyamit diet me shamil kare. muscles ko majboot banane ke liye anda bhi ek upyogi oshadhi ki tarah kaam karta hai, esme amino acid paya jata hai. Ande ke pile bhaag me protien aur lutan jaise tattwa hote hai, jo body ko takatwar banata hai. [ bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye] 


Thursday, 18 August 2016

Baccho ki bhukh badhane wale yogasan - baccho ki bukh kaise badhaye

Baccho ki bhukh badhane wale yogasan -  baccho ki bukh kaise badhaye


baccho ki bhukh kaise badhaye:
baccho ki bhukh ko lekar hone wali samasyae aam ho gayi hai. aksar hota ye hai ki bachche khelne kudne me lag jate hai aur unhe khane peene ka dhyan hi nahi rehta hai jaise unhe bhukh hi nahi lagti ho. esiliye aaj me aapko khuch aise yogasan batane wala hu jisse roj 15 minute karne se bachcho ki bhukh bad jaygi. Aur aap yogasan ke baare me to jaante hi honge eske koi side effets nahi hote aur roj yogasan karne se bachcho ki sehat bhi achchi bani rahegi. to  chaliye jante hai bachcho ki bhukh badhane wale yogasan.


Butterfly pose

Baccho ki bhukh badhane wale yogasan -  baccho ki bukh kaise badhaye


yah bukh badhane ke liye kaphi achcha yoga hai ese karne se kabj ki problem bhi dur hi rahti hai aur pachan kriya ki durust ho jati hai

Butterfly pose karne ke liye sabse pehle farsh par baith jaye. apni peeth ko bilkul seedha rakhe aur apne pairo ko ghutno se modh le. pairo ke talwo ko es prakar rakhe ki wo ek dusre ke aamne saamne rahe. ab apne haatho se, panjo ko pakde aur pairo ko move karaye. apne jaangho ko upar niche hilaye. upar ki aur jitna utha sakte hau uthaye. ese jitni baar kiya jaye utna hi achcha hai.


*Aloe vera ka juice pine ke ke 7 behtareen fayede
*Banana khane ke fayde



Shashankassana


Baccho ki bhukh badhane wale yogasan -  baccho ki bukh kaise badhaye


yah aasan tensiom kam karne ke liye sabse achcha hota hai. ese karne se pachan kriya bhi durust rahti hai aur pet me hone wali internal problem bhi dur ho jati hai.

shashank aasan karne ke liye sabse pahle jameen pad chatai ya dari bhicha kar baith jaye.
dono pairo ko ghutno se modkar piche ki aur hips ke niche rakhe aur aerhiyo par baith jaye. ab saans lete huwe dono haatho ko upar ki aur kare.
eske baad saans ko bahar chodhte huwe dheere-dheeree aage ki aur jhukte huwe saans ko bahar ki aur nikale aur dono haatho ko aage ki aur failate huwe hatheliyo ko farsh par tikaye. apne sir ko bhi jameen par tika ke rakhe. aasan ki es stithi me aane ke baad khuch samay tak saans ko bahar ki aur chorh kar aur rok kar rakhe.
fir saans lete huwe sharir me lachak laate huwe pehle pet ko, phir seene ko, phir sir ko uthakar sir wa haato ko saamne ki taraf karke rakhe. khuch samay tak es awastha me rahe aur phir seedhe hokar khuch samay tak aaram kare aur wapis ese kare.


*Jaldi height badhane ke upaye
*wajan badhane ke gharelu upaye



Chinmaya mudra

Baccho ki bhukh badhane wale yogasan -  baccho ki bukh kaise badhaye


es mudra ko karne se sharir me urja ka sanchar hota hai, pachan kriya durust rahti hai aur bhukh lagna bhi shuru ho jati hai.

ese karne ke liye sabse pahle sukhasan me baith jaaye. apne haatho ko jaangho par rakhe aur hatheli ko niche karke rakhe.
ab ek haath ko uthaye aur uske anguthe ko dabakar baki ki teen ungliyo ko dabakar baki ki teen ungliyo ko upar ki aur gyan mudra me rakhe. gahri saans lo aur 2-3 minute tak esi mudra me rahe. es prakriya ko 5 baar dohraye.

*15 minute me face gora karne ke natural tarike
*face gora karne ke tips

Wednesday, 17 August 2016

Tamatar ke fayde - Benefits of tomato in hindi

Tamatar ke fayde -  Benefits of tomato in hindi 


HI FRIENDS 

Tamatar khane ke faide:
 Tamatar jo har kitchen me estemal kiya jata hai.  khuch log tamatar ko sabji samajhte hai lekin ye ek fruit hai. aap shayad nahi jaante honge roj ek tamatar khana roj 1 apple khane se bhi jyada faida pochata hai. 1 tamatar ke andar Vitamin A aur C ke saath potassium aur fibre ki bharpur matra hoti hai.  Tamatar ko salad aur sabji banane ke alawa pakaude, chips aur bohot se chijo me estemal kiya jata hai. to friends chaiye jante hai tamatar khane ke chamatkari fayde.
Tamatar (tomato) ke chamatkari fayde


Blood pressure control kare :- tamatar ko roj salad ke saath estemal karne se aapka blood pressure control me rahega. yah baat saabit ho chuki hai ki 8 hafte tak tagatak tamatar ko salad ke saath estemal karne se blood pressure control me rahne lagta hai. To agar aap high blood pressure ke marij hai to aap bhi tamatar khana shuru kad dijiye

Ye bhi padhe

jadli height badhane ke upaye
Pimple muhaaso ke liye homemade ilaaj
15 minute me face gora karne ke natural upaye


Sardi jukham se chutkara :- Jiuce to aap sabhi peete honge lekin agar aap mix juice me tamatar daal lenge ya phir sirf tamatar ka juice piyenge to ye aapko environment se hone wale virus aur bacteria se bachao me madad karega jisse aapko naak, gale, sardi, jukham aam bimariyo se kai had tak chutkara mil sakta hai.

Skin protection :- Ham sabhi kai tarah ke fruits apne chehre par estemal karte hai. Santra, seb aadi fruits ke kai gunn hamare chehre ki sundarta ke liye viswasniya paaye jaate hai. lekin tamatar ka skin se sambandh bohot kam logo pata hota hai. agar aap 10 hafte tak apne face par tamatar ka paste lagayenge to aapko sunburn se hone wale sidd effects se chuthkara mil jayga. Garmiyo me tapti dhoop se sunburn ke  chances sabse jyada hote hai. esiliye aap sunscreen ke saath roj tamatar ke pasts ka bhi estemal kare aur phir dekhe sunburn ki bimariya kaise gayab ho jati hai.

Cholesterol par control :- Roj tamatar ka sewan dil ki suraksha karta hai jisse hamare Cholesterol par control rahta hai. badhta cholestrol aaj anek bimariyo ki samasya hai esliye apne dil aur badhte cholestrol ki suraksha bohot jaruri hai aur eske liye aapko jarurat hai rojana tamatar ka sewan karne ki.

Note-  Kidney aur pathri ke mareez tamatar ka estemal karne se pahle apne  doctor se salah jarur le.

ye bhi padhe

aloevera juice pine ke 7 behtareen fayede 
Badam bhigo kar khane ke faide
Paan ke paato ke 7 jadui faide


To friends aapne dekha tamatar 1 aur gunn anek. To aap bhi aaj se hi tamatar ka sewan shuru kar dijiye aur anek faido ko apna lijiye. Yah aapke sharir kr liye faidemand hi nahi bohot jaruri bhi hai.

Monday, 15 August 2016

Aloe vera ka juice pine ke 7 behtareen fayede - Benefits of aloe vera juice in hindi

Aloe vera ka juice pine ke 7 behtareen fayde - Benefits of aloevera juice in hindi


Aloe vera ka juice peene ke fayde:
aloevera aapne eska naam to suna hi hoga. aloevera ko guwarpata,  duthkumari jaise naamo se bhi jaana jata hai. aloevera ka prayog prachin kal se hi kya ja raha hai. aloevera ke ras me kai rasayenic tatwo ka gun paya jata hai.  aloevera  me vitamin, mineral, amino acid,  enzyme,  aur fatty acid jaise 200 tatwa paaye jate hai. to chaliye friends jaante hai aloevera juice pine ke faide jo aapko pata hone chahiye.

Aloevera ka juice pine ke 7 behtareen fayede


Sharir ke andar safai kare

aloevera juice natural cleanser me sabse effective hota hai.  aloevera juice digestion ko majbut banane aur werj padartho ko sharir se bahar nikalne me help karta hai. es tarah se yah sharir ko natural rup se detoxify karta hai.  yah sharir ko shanti aur thandak pradan karta hai.


Baal (hair) ko healthy banaye

agar aap apne baalo ke liye koi achchi dawa dundh rahe hai to aap apne baalo ko aloevera ka nutrition dijite. aloevera baalo se judi har tarah ki problems ke liye bohot fayedemand hai.  yah baalo ko majbuti deta hai,  aloevera se baalo ka badhna suru ho jata haji aur saath hi ye baalo ko healthy aur shiny banata hai.  yah aapke sir ki twacha ke liye bhi bohot fayedemand hai.


Cholesterol aur blood sugar kam kare

yah baat prove ho chuki hai ki aloevera cholesterol aur blood sugar levels ko kam karta hai. eska matlab yah hai ki aloevera, diabetes aur motape ko kam karne me sahayak hai.

Ye bhi padhe

 Paan ke patto ke 7 jadui fayede
Banana khane ke fayede
badam bhigo kar khane ke faide


Digestion sahi kare

jab aapka khana sahi se digest nahi ho pata hai to esse aapke digestion process par asar padta hai. esse kai prakar ki bimariya shuru ho jati hai.  pet ka sidha sambandh sehat se hota hai. aloevera juice se pet ki internal safai ho jati hai. esse digestion se sambandhit kai prakar ki prblems khatm ho jati hai. dairiya,  kabj jaise bimari to bohot dur hi rahti hai aur pet ke cancer ki sambhaona bhi kam ho jati hai.  yah pet ke extra bacteria ko markar aanto ko safe rakhta hai.


Immune system majboot kare

aloevera me immune system  ko majbut karne wala gunn hota hai jo ki immune system ko sahi se kaam karne me help karta hai.  immune system me hone wali samasya se asthama jaisi bimariya hone ki sambhaona hoti hai.  aloevera juice sujan kam karne me help karta hai aur apne immune system ko majbut kar aapko bimariyo se bachae rakhta haj.


face (chehra) ke jalan aur acne se bachaye

aloevera me maujud tatwa  dhoop,  dhul aur pollution se hone wali problems se dur rakhte hai. yah face par hone wale pimples, keel,  muhaase,  daag, dhabbo se chutkara dilata hai.  aloevera ke juice me paani ki adhik matra astringent ki tarah kaam karti hai,  saath hi body ko hydrate bhi rakhti hai.  eske alawa aloevera juice skin ko kai tarah ke infection se bachata hai.


Aloevera me Vitamin aur poshak tatwa

aloevera juice vitamin aur mineral se bhara hota hai.  aloevera me Vitamin A, B, E, B1, B2, B3, B6, B12 aur folic acid ki bharpur matra me paayi jati hai.  eske alawa esme calcium, magnesium, zinc, iron, potassium adi mineral bharpur matra me hote hai. jo ki achchi sehat ke liye bohot jaruri hote hai.

ye bhi padhe

wajan badhane ke gharelu upaye
Jaldi height badhane ke upaye
Pimple muhaaso ke homemade ilaaj


To es tarah se aloevera aapke liye kai tarah se faidemand hai aur ye bilkul natural tarike se bina kisi side effect ke kaam karta hai. to ab aap bhi Aloevera juice pina shuru kar dijiye.

Badam bhigo kar khane ke kya faide hai

Badam bhigo kar khane ke kya fayede hai


HI FRIENDS

Bhige badam khane ke fayde:
aap logo ne kabhi na kabhi suna hi hoga ki badam bhigokar khane se jyada faida hota hai aur ye baat bilkul sahi hai agar aap aise hi saade badam khayenge to aapko utna faida nahi hoga, jitna raatbhar paani me bhigokar rakhe huwe badam khakar hoga ab aap soch rahe honge aisa kiu? to chaliye me aapko pure deatail me batata hu ki bhige badam me kya kya hota hai aur eske kya kya faide ha.


Badam bhigo kar khane ke kya faide hai


Bhige badam me kya hota hai

  darasal badam me vitam E, Zinc, calcium, magnicium, omega-3 faity acid jaise bohot se tatwa paaye jate hai. lekin enka pura faida uthane ke liye aapko enhe bhigokar khana hoga. aisa esliye kiuki badam ke chilke me tainin naam ka ek tatwa hota hai. jo ki poshak en saare tatwo ke aososan ko rok leta hai. jab aap badam ko paani me bhigote hai to ye chilka aasani se nikal jata hai aur nuts ko poshak tatwo ko riha karne ki anumati deta hai.

Bhige huwe badam khane ke faide


Vajan kam karne me madadgar

badam wajan kam karne me bohot madadgar hote hai. esme mono ansechuradate fat aapka bhukh kam kar dete hai. bhiga huwa badam anti oxident ka bohot achcha strot hai. yah freeredicals ke nuksan se bachakar umar badhne ki prakriya ko dhima kar deta hai. bhige badam me vitamin B17 aur folik acid cancer se ladhne aur janm dosh ko dur karne ke liye achcha hota hai.

Ye bhi padhe

Banana khane ke fayede
Paan ke patto ke 7 jadui fayede
Wajan badhane ke gharelu upaye


Blood pressure control kare

badam high blood pressure ko niyantrit karne ke liye bohot achche hote hai. genral free redical research me prakashit study ke mutabik wegyaniko ne paya ki badam ka sewan karne se blood me alfal tokoferol ki matra badh jati hai, jo kisi ke bhi blood pessure ko control karta hai.


Dil swast rakhe

agar aap chahte hai aapka dil swast rahe to roj muthi bhar badam khane ki aadat daal lijiye. badam apne anti oxident gune ke karan LDL cholestrol ka oxikaran rokta hai. esse dil aur uska system swast bana rahta hai.

bad cholestrol kam kare

sharir me agar bad cholestrol badh jayega to artriz yani dhamniyo me rukawat paida hogi aur jab aapki dhamniya sahi se kaam nahi kar payengi to aapke liye kai swast samasya paida ho sakti hai. agar aap bhige badam roj khayenge to aapka good cholesterol badhega aur bad cholestrol kam hone lagega.


Garbhwati mahilayo ke liye

bhige huwe badam me folik acid ki matra jyada hoti hai ye poshak tatwa garbh ke shishu ke mastisk aur nurological system ke vikas me madadgar sabit hota hai. jab badam ko bhiga diya jata hai to garbhwati mahilao ke liye use khana aasan ho jata. garbhwasta me pachan sakti kamjor ho jati hai aur bhiga badam aasani se pach jata hai.


Haajma sudhare

agar aapko haajme se judi kai samasya hai to aap bhige huwe badam khaye. ye aapke hajme ko durust banata hai agar aap bhige huwe badam khate hai to aapke pet ke liye protein hajam karna aasan ho jata hai, aisa esliye hota hai kiuki badam ke chilke me enzyme hote hai aur wo jab alag ho jata hai to baki ka badam fat aasani se todh pata hai. fir pachan kriya aur poshak tatwo ka aososhan aasan ho jata hai.

Ye bhi padhe

15 minute me face gora karne ke natural tarike
Motapa kam karne ke liye best yoga poses
Jaldi height badhane ka tarika


so friends aap bhi bhige huwe badam khana shuru kar dijiye kiu to aap jaan hi chuke honge aur aap apna experience hamare saath share jarur kijiyega.

Disqus Shortname

Comments system