Tuesday 9 August 2016

Oily skin ke liye gharelu nuskhe - Oil free skin kaise paaye

Oily skin ke liye gharelu nuskhe aur upaye


HI FRIENDS

Kya aapki skin bhi oily hai  kya aap din bhar chehra dhote hai lekin phir bhi aapki skin par se oil nahi hatta. Oily skin ke bohot se karan hote hai stress, harmone changes, genetic reason aur bhi koi karan ho sakta hai. oily skin ke karan hame bohot si problems ka samna karna padta hai jaise pimples, dark circles, blackheads aur bhi bohot si pareshaniya hoti hai. market me bohot si cream aur face wash nikal gaye hai lekin wo bhi koi kaam ke nahi hote hai unse khuch der to face oil free rehta hai lekin 1-2 ghante baad wahi oily skin. esiliye aaj me aapko oily skin se nijat paane ke gharelu upaye batane wala hu jisse aapka face din bhar oil free rahenge.


Oily skin ke liye gharelu nuskhe aur upaye



Tamatar

Oily skin ke liye tamatar bohot fayedemand hota hai. Tamatar mai skin ko saaf karne aur oil sokhne ke gun hote hai. tamatar me kuch aese naisargik acid hote he jo skin se tail nikalne mai madadgar hote he.

Sabse pehle tamatar ke ras ko ek katori mai nikale fir rui ki sahayata se chehre par lagaye. 15 minute rakhneke bad paani se chehra dho le.


Kheera

Kheera vitamins, minerals, magnesium aur potassium se bharpur hota hai. kheera prakritik thanda hota hai.

 sabse pehle aap kheere ko grind karke paste bana le. raat ko sone se pehle ese apne pure chehre par lagale aur 15-30 ke baad aap ese saaf paani se dho le.


Multani mitti

Ye to bahut log jante hai ki Face care me multani mitti ka bahut istemal hota hai aur iska fayda bhi lajawab hota hai. aur Ye easily store par mil bhi jaati hai.

 Sabse pehle multani mitti me Gulab jal ko mila kar paste bana le, aur achche se es paste ko apne pure chehre par lagaye. Paste lagane ke baad use 15-30 minute ke liye aise hi chod dein aur uske baad face wash kar lein.Ye Multani Mitti Face Pack aapki skin ka oil acche se saaf kar dega aur aapki skin oil free rahegi.


Honey

sahad skin ke liye bohot achcha hota hai ye skin par se oil to nikalta hi hai aur ye skin white banane me bhi bohot madadgar hai. aap honey ko 15-20 minute apne face par lagaye fir saaf paani se dho le. esse aapko bohot  achcha result milega.


Besan

Beasan oily skin walo ke liye bohot achcha hai esse skin oil free hoti hai aur ye saole skin ko gora karne ka kaam bhi karti hai.

sabse pehle 1 chammach besan me thoda sa haldi powder mila le. aur esse apne pure chehre par achche se laga le. ese 30-60 minute tak apne chehre par rehne de fir ese saaf paani se dho le. ye paste oily skin ke liye bohot achcha hai.


Nimbu

Nimbu oily skin walo ke liye bohot hi labhdayak hai. nimbu ke istemal se skin oil-free ti hoti hai aur esse skin ke daag dhabbe bhi katam hote hai.

sabse pehle nimbu ke ras ko ek cup me nikal le aap chahe to esme gulab jal bhi mila sakte hai. fir ese apne pure chehre par achche se laga le aur 15-20 minute ke liye chod de fir ese saaf paani se dho le. esse aapki skin oil free rahegi aor hamesha glow karti rahegi.


Anda

anda oily skin se nijat paane ka bohot achcha option hai anda lagane se chehre ke chote chote ched khul jaate hai fir skin par oil nahi aata hai.

sabse pehle ande ka safed baag chehre par lagaye aur esse 15-45 minute tak chod de fir esse besan ke aate se dho le ya aap pani ka bhi estamal kar sakte hai.


Dahi

oil free skin paane ke liye dahi lagana bhi ek achcha option hai dahi thanada hota hai aur esme oily skin se ladne ki takat hoti hai.

sabse pehle dahi me besan ko mila le. fir ese apne pure chehre par achche se laga le. ese 15-20 tak chod de fir saaf paani se dho le.


Neem ki pattiya

Neem ke baare me to aapne suna hi hoga neem ke bohot se upyog hote hai aur enme se ek oil free skin ke liye bhi eska use kiya jata hai. esse aapki skin oil free hogi aur ye muhaaso ke liye bhi fayedemand hai.

sabse pehle neem ki pattiyo ko paani me ubaal le. fir us paani se apna chehra achch sd dhole. esse aapko oil free look milega.


Santra

Santra me bio-c aur vitamin c hote hai. santare ka chilka aur guda dono hi bahot labhdayak hote hai. Santra skin ko oil free banata hai aur healthy look deta hai. Santre ka use karne se skin ka rang bhi saaf hota hai.

Sabse pehle santre ka ras 1 cup me nikal le fir esse apne dono gaalo par lagaye aur 5 minute massage kare fir esse aise hi 15 minute ke liye chod de fir ese saaf paani se dho le.

Ye bhi padhe
*Face gora kaise kare best tips
*pimple ke gharelu ilaj

To friends aapko meri ye post kaise lagi oily skin se nijat paane ki aap apna experience hamare saath jarur share kare.

Disqus Shortname

Comments system