Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare
Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare : fitness aajkal jarurat ke alawa trend bhi banta ja raha hai. eske liye diet se lekar yog, aerobics, dance therapy aur anya kai madhyam popular hai. aisa hi ek bohot popular madhyam hai gym lekin gym join karte samay khuch baato ka dhyan bhi rakhe ki aap sahi tariko ka palan kar rahe hai. aur saath hi es baat ka bhi dhyaan rakhe ki aap jo gym join kar rahe hai wo accha hai.
Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare |
Kaisa gym select kare
* gym ko select karte samay es baat ko sabse pahle apne dimaag me rakhe ki wah appke lifestyle ke anurup ho, use promote karne wala ho. gym aisa na ho jo aapke liye sirf medical program ki bhumika ada kare.
* gym me estemal hone wala body equipment branded aur high quality ke hone chahiye. es tarah ke equipment dwara hi takniki dhang se vikas kiya ja sakta hai. sahi muscles ke devolopment ke liye yah equipment safe hone chahiye taki esse kisi tarah ki accident hone ka khatra na rahe. [ Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare ]
* gym me trained professional ke alawa fitness program ko scientific approach karne ki suvidha bhi honi chahiye.
*Bodybuilding tips in hindi - body kaise bananye
*weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye
*How to increase height in hindi
Gym ja rahe hai to ye na kare
1. suruwat me hi bhari wajan na uthaye aisa karne se aapko fayda kam aur nuksaan jyada hoga. yah baat ko dhyaan me rakhe ki jaha bhari wajan uthane se body ka aakar badhta hai wahi halka wajan manspeshiyo ko sahi aakar me dhalne me madad karta hai.
2. youngsters body banane ki chahat me steroids le to rahe hai, lekin eske nuksaan bhi bohot hai. halaki body building ke liye protien richdiet lene ki salah di jati hai,lekin eska fayda workout karne par hi hota hai. Tabhi protein diet musclesme badalti hai, warna esme bhi fat deposit hone lagta hai. esi ke saath body banane ke liye shortcut ko bhi theek nahi mana jata hai.
3. Body banane ke liye youngsters etne crazy hai ki eske liye we supplements bhi khub lete hai. halaki wo es baat se anjan hai ki estarah wo kai problems ko dawat de sakte hai. en supplements se body to ban jati hai, lekin saath hi kai tarah ki problems bhi hone lagti hai. Doctors aur fitness expert ki maane to regular en dawai ko lene wale youngsters infernity ka sikar bhi ho sakte hai. yahi nahi, enke istemal se kidney failiure, heart aur lever ke judi tamam samasya ho sakti hai. esiliye supplements ka estemal na kare, balki apne aahar ki matra aur quality sahi rakhe. [ Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare ]
Gym ja rahe hai to ye jarur kare
1. chart banaye : body building ke liye samay chat jarur banaye. kitna time gym ko dena hai aur kitna baki dincharya ko, ye nirdharit kare. Taki aap jitna samay gym me rahe utna samay apna pura dhyan kasrat pe hi laga sake.
2. diet par dhyan de : body building ke suruwat me sabse pahle diet par dhyande. achche body builder ko kasrat ke hisaab se hi protein lena chahiye, protein utna hi le jitna aap pacha sake.
3. Poshtik aahar le : agar aap non vegiterian hai aur body building ka sokh rakhte hai to anda, matan, fish jaise aahar ko apne khane me shamil kar sakte hai aur body bana sakte hai.
*weight loss tips in hindi - motapa kam kaise kare
*motapa kam karne wale yogasan
*aloe vera juice pine ke fayde
Gym me aise na kare suruwat
body banane ka sokh naya nahi lekin kai bar josh josh me aisi galtiya ho jati hai jisse lene ke dene padh jate hai. pehli bar gym jaane wale log jyadatar aisi galtiya karte hai. gym me khuch galtiyo ko dohrana apne sharir ko aur kharab karne jaisa hai. gym me en baato ka khas khayal rakhe......
jyadatar yuva nausikhiye gym me pehle din hi sabkuch paa lena chahte hai. eske liye wo pura josh nikal dete hai, yah jane bina ki exercise ke liye kitne set chaihiye aur kya yah unke liye jaruri hai bhi. dumbles, ab crunch machine, chest press, machine koi bhi ho suruwati hafte me ese 1 set ( 10-15 bar) hi rakhe.
dhyan rakhiye aap jis kisi ke body ko dekh kar inspired hai usne ese ek din me hi nahi hasil kiya hai. eske piche saalo ki mehnat aur sahi disha ki jarurat hoti hai. gym ke liye apna routine nirdharit jarur kare. chest, shoulder, bysapes sharir ke alag alag hisse ke liye 1-1 din nirdharit kare aur usse sambandhit machine par nirdharit din hi mehnat kare. [Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare ]
Bohot jyada workout na kare
kisi bhi kam ko bohot jyada karne se wah aapke sharir aur dimag ko thakata hai aur akhir me wo aapko bor lagne lagta hai, fir chahe wo faydemand hi kiu na ho. workout session ke doran aapko apne sharir ko aaram dena hoga taki usse hui thakan adi ki bharpai ho sake. apne workout routine se niamit tor par khuch din hi aapki chutti rakhe taki aap khud ko relax kar sake aur apni khoi energy ko wapas la sake. esse aapka man bhi exercise karne me lagega.
Khane par dhyan de
kai log enery level khane ko bhi bor hone ki wajah batate hai. accha balanced kahana aapka energy level badhata hai aur aapko accha dikhne aur mehsoos karne ke liye prerit karta hai.
Friends ke saath exercise kare
friends ka saath aapko prerit karta hai aur aapko taja ghatnao se rubaru rakhne me madadgar sabit hota hai. eske alawa agar aapke saath koi exercise karta hai to wah aapko aur aap unko exercise ke liye prerit kar sakte hai.
Workout me badlao late rahe
6 hafte tak ek hi exercise karne se aapki calories 25 % kam burn hone lagti hai. boriyat se bachne ke liye exercise program me badlao late rahe. kai tarah ki exercise naye dhang se karne par aapko exercise karne me maza to ayega hi saath aapke khuch naye muscle ka estemal bhi hoga, jo ki aapke sharir ko accha result dega. [ Gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare ]