Thursday 4 August 2016

How to increase height in hindi - lambai kaise badhaye

How to increase height in hindi - lambai kaise badhaye

  How to increase height in hindi - lambai kaise badhaye : es duniyan mein har koi kisi na kisi cheez ke liye pareshaan hai. Koi motapa kam karna cahta hai to koi wajan badhana chahta hai toh koi Lambai badhana chahta hai.
Bohot se log apne chote kad ke wajah se pareshaan rehte hai aur bohot se medicine lete hai jinse unke kad mein ejafa ho lekin aisa kuch nahi hota ulta unke body par unn dawaiyon ka galat asar pad jata hai. Ek achhi height hona har ladka aur ladki ka sapna hota hai, har koi lamba hona chahta hai, Lamba kad hamare vyaktitwa ko nikharta hai agar aap kisi lambe insaan ke sath khade hote hai aapko apni chhoti height ke karan ajeeb sa lagta hoga ya fir bura mahsoos hota hoga aur dil me yhi baat aati hai kash meri height bhi samne wale ki tarah hoti to kitna achha hota. Lambai hight badhane ke tarike tips upaye apne bohot sune honge. Shayad kuch lambai height badhane ke tarike apne ajmaye bhi honge. lekin aaj me jo apko hight badhane ke tarike or tips batane jaa rha hu wo kuch special hai. kiuki ye bilkul natural hai to no harmful medicines and powders.


How to increase height in hindi - lambai kaise badhaye
How to increase height in hindi - lambai kaise badhaye


MEDICINES LENE SE BACHE 


sabse pehle me aapko batana chahunga ki medicines lene se bache. teenagers dwara lee jane wali dawaye aur antibiotics ke kai saare side effects hote hai.  ye aapki lambai to nahi badhate lekin aapko aalsi aur inactive jarur bana dete hai. esiliye es tarah ki medicines ko bilkul na le. [ How to increase height in hindi - lambai kaise badhaye]

*pimple muhaaso ke gharelu ilaaj
*15 minute me face gora karne ke natural tarike
*oily skin ke liye gharelu upaye


NASHE SE DOOR RAHE 

upar mene aapko bataya ki medicine lene se bache aur dusri baat me aapse kahna chahunga ki nashe se dur rahe. Sharab peena ya smoking gambheer swaasth samasyao ka karan bante hai. smoking ya alcohol lene wale vyakti ke vikas aur lambai par bura prabhao padta hai. esiliye kisi bhi prakar ke nashe se dur rahe.

DHOODH

din me ek litre doodh jaruru piye kiuki dhoodh me calcium aur protein hota jo height badane me bohot sahayak hai.

EGG

egg height badane ke kiye bohot jaruri hai. esme fat, calcium, vitamin B, vitamin A aur rivoflavin hota hai. jisse haddiyo me vikas aur manspeshiyo me vriddhi hoti hai aap din me kam se kam 5 egg khaiye aur 5 mahine me aapko fark najar aa jayega. [ How to increase height in hindi - lambai kaise badhaye]

FISH

fish me bohot matra me protein hota hai aur calcium aur vitamin D bhi hota hai jisse haddiya majboot  hoti hai aur muscles me growth hota hai jisse height bohot jaldi increase hoti hai.

*weight loss tips in hindi
*motapa kam karne liye yoga
*vajan badhane ke gharelu upaye


BANANA (KELA)

banana height badane ke liye bohot important friut hai esme calcium, potassium aur meneganese hota hai jo haddiyo ko takat pradan karta hai aur height badhane me madad karta hai.

CHICKEN

chicken protein se bharpur hota hai  chicken khane se uttako aur manspeshiyo ke nirmaan me kaphi madad milti hai aur ye hamare sharir ko protein pradan karta hai jisse sharir ki vradhdhi hoti hai aur ye kad badhane ke liye kaphi sahayak hai.

NUTS

nuts badam, akhrot aur pista me mineral, protein, fats aur fibre hota hai jo lambai badane ke liye kaphi helpful hai. agar aapko apna kad badana hai to ye aapke liye bohot helpful sabit honge.

CALCIUM

calicium hamare sarir ke liye bohot important hai aap apne khane me calcium yukt chizo ko jarur add kare jaise dhoodh, dahi, cheez adi. [ How to increase height in hindi - lambai kaise badhaye]

VITAMIN D

 lamabai badane ke liye jis vitamin ki hame sabse jyada jarurat hoti hai wo hai vitamin d. esiliye apne khene me vitamin d ko jarur add kare jaise fish, daal, mushroom, badaam adi.

PROTEIN

 protein sirf health ke ke liye hi nahi balki lambai ke liye bhi bohot important hai. yah sharir ki koshikai ki marammat karta hai. ese bhi apne khane me add kare jaise fish, dhoodh, daale, cheez, beans, chiken adi.

MINERAL

mineral haddiyo (bones) ka nirman karta hai. ye haddi ke vikash aur sharir mr khoon ke flow me sudhar karte hai.
agar aapko apni lambai badhani hai to mineral se bharpur tatwo ka estemal kare jaise palak, hari beans, faliya, kaddu, gajar, daal, kele, angur adi.

PARYAPT NEEND

 es baat se inkar nahi kiya ja sakta ki lambai jeans par bhi nirbhar karti hai.  lekin esko bhi nakara nahi ja sakta ki paryapt neend swasth jeevanshaili aur sharir ki samagra growth aur vikash ke liye sabse achcha upaye hai. Na sone ya kam neend lene ke pratikul prabhao hamare pure sharir par padta hai. paryapt neend yah ensure karti hai ki aapki lambai aur wajan theek rahenge. kiuki neend ke dauran sharir me uttako ka vikas aur nirman hota hai saath hi paryat neend lene se lambai ko kabu karne wale harmone ki growth hoti hai. esiliye aapko ek din me 7-8 jarur sona chahiye. [ How to increase height in hindi - lambai kaise badhaye]


HEIGHT LAMBAI KAD BADHANE KE EXERCISE

to friends mene upar khuch tips diye hai lambai badane ke liye aap log jante hi honge es duniya me koi cheez aasani se nahi milti waise hi sirf khane se height nahi badh sakti aapko height badane ke liye khane ke saath-saath exersire bhi karni hogi to me aapko khuch aise exercise batane wala hu jisse aapki height me bilkul ijafa hoga.

 ROPE JUMPING 

rop jumping ek aise game hai jisme aapki full body ki exercise hoti hai
rope jumping karte waqt hamare sharir me khichao aata hai jo hamari height badane me bohot jyada helpful hai.

SWIMMING

swimming kad badhane ke liye bohot achchi exercise hai swimming karne se aapke pure body ka workout hota hai aap din me 2 ghante swimming kijiye aur aapko bohot jaldi result milega.

TOE TOUCHING

ye exercise bhi kad badane ke liye bohot achchi hai ess exercise se hamari body strech hoti hai jisse height ki speed badti hai.

SURYA NAMASKAR

Surya namaskar height badhane ka ek achha tarika hai ese karne ke liye shubah me shant aur saaf jagah par 1/2 ya 1 ghanta kare. esse aapko kafi fayda hoga.



Disqus Shortname

Comments system