Thursday, 4 August 2016

Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye

Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye 


Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye : wajan kam karna jitna mushkil hai wajan badhana utna hi mushkil. Aaj jaha adikhtar log apna weight kam karne ke liye pasina baha rahe hai vaha par abhi bhi kuchh log aise hain jo ki weight badhane ke liye mehnat kar rahe hai. vajan badhana koi minto ka kaam nahi hai agar sochenge ki me 1 din ya 1 hafte me 40 se 50 kilo ka ho jao to ye mumkin nahi aapko apna vajan badhane ke liye dherya rakhna hoga agar aap mere bataye huwe raaste par chalenge to 2 month me aap apna vajan 4-6 kilogram tak badha sakte hai ya esse bhi jyada. to chaliye jaante hai weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye, vajan badhane ke natural gharelu tarike.

Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye
Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye


Milk

Skimmed milk (malai hataya hua) pina bhi vajan badhane ka kargar aur asardar formula hai. Iske 1 glass me lagbhag 60 calories hoti hai. Sath hi kai sare vitamins aur nutrients bhi hote hai. Iske sath hi milk me vitamin D aur A bhihota hai. Dudh ko orats aur corn flakes ke sath khaya jasakta hai.

*baccho ki bhukh badhane wale yogasan
*Jadli height badhane ke tarike
*kele khane ke fayde in hindi

Aloo (potato)

Motapa ghatane ke liye log sabse pahle apni diet se aloo hatate hai to ab jab vajan badhana (weight gain) hai to iski jyada se jyada matra ko diet me shamil kare. Protein ke khajane se bharpur aloo me fiber, vitamin C aur iske chhilke me bahut saara nutrients maujud hota hai. Boil karne ke alava isko halka fry karke khana bhi faydemand hota hai. [ Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye]

Paryapt neend le

paryapt neend hamari sehat ke liye bohot jaruri hai agar aap achcha khaye piye exercise kare lekin paryapt neend na le to aap apna wajan kabhi nahi badha sakte roj kam se kam 7-8 ghante neend jarur le esse hamara wajan bhi badta hai aur mind bhi fresh rehta hai .

  Hari sabjiya khaye

 Hari sabjiya wajan badhame ke liye ek bohot achcha upaye hai hari sabjiyo ka sevan hamare sharir ke liye bohot faidemand hai esse hamara sharir smooth hota hai aur mind fresh rehta hai aur hari sabjiya skin ke liye bhi bohot fayedemand he.

*Paan ke patte ke fayde
*Aloe vera ka juice pine ke fayde
*tamatar ke fayde

 Anda (egg)  khaye

egg me kaphi matra me calorie aur protein hoti hai jo wajan badhane me bohot sahayak hai. eeg mashpeshiyo ko viksit karta hai jisse hamara wajan bohot jaldi badhta hai.

Kela khaye

kela wajan badhane ke liye bohot achcha fruit hai aap din me 2-3 kele khaye aur aapko result bohot jaldi najar aan lagege

Red meat

red meat me kaphi matra me protien hoti hai eske roj seven se aapka wajan kaphi jaldi badhne lagega.

 Dopahar ki jhapki

agar aapke paas khali samay hai to dopahar mein nind ki ek jhapki le lijiye. Dopahar ki jahpki bhi aapke vajan ko badhane mein sahayak hoti hai. Dopahar mein khana khane ke baad 30-60 minute ki jhapki lene se bhi wajan badhta hai. [ Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye]

Aam (mango) khaye

Aam bohot hi tasty fruit hota hai jo garmiyo ke mosan me ata hai. aam me kaphi matra me vitamin aur protien hote hai jo wajan badhane me kaphi madadgar hai.

Kharbuja khaye

jin logo ka vajan kam hota hai doctors unhe kbarbuja khane ki salah dete hai. ese khane se vajan badhta hai aur ye aur yah aapko desperation se bhi bachata hai.

*weight loss tips in hindi
*matapa kam karne wale yogasan
*Body building tips in hindi

doodh me sahad

sahad vajan santulit karta hai. agar aapka vajan bohot hai to sahad aapka vajan kam karne me madad karta hai aur agar vajan kam hai to sahad aapka vajan badhane ka kaam karta hai. roj sone se pahle aur nashte me doodh me sahad ka sevan aapka vajan badha sakta hai. esse aapki pachan sakti bhi achchi rahti hai.

Kaju

ek mutthi kaju swast sharir paane ka aasan tarika hai. kaju ke tel me na kewal vajan badhane balki kaju roj khane se aapki twacha komal aur baal
chamakdar dikhne lagenge.

Malai

Malai yani milk cream me jarurat se jyada fatty acid hota hai. aur esme calories ki matra bhi bohot hoti hai. milk cream ko pasta aur salad ke sath khane se aapka wajan teji se badhga.

 Aaram kare

Jab aap niyamit aaram karte hai to apka khana jaldi pach jaata hai aur aapko adhik bhook lagne lagti hai. Aap aur khate hain jisse aapke sharir mein jyada calories pahunchti hain jo aapke vajan ko badhane mein sahayak hain.
[ Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye ]


Disqus Shortname

Comments system