Aloe vera ka juice pine ke 7 behtareen fayde - Benefits of aloevera juice in hindi
Aloe vera ka juice peene ke fayde:
aloevera aapne eska naam to suna hi hoga. aloevera ko guwarpata, duthkumari jaise naamo se bhi jaana jata hai. aloevera ka prayog prachin kal se hi kya ja raha hai. aloevera ke ras me kai rasayenic tatwo ka gun paya jata hai. aloevera me vitamin, mineral, amino acid, enzyme, aur fatty acid jaise 200 tatwa paaye jate hai. to chaliye friends jaante hai aloevera juice pine ke faide jo aapko pata hone chahiye.
Sharir ke andar safai kare
aloevera juice natural cleanser me sabse effective hota hai. aloevera juice digestion ko majbut banane aur werj padartho ko sharir se bahar nikalne me help karta hai. es tarah se yah sharir ko natural rup se detoxify karta hai. yah sharir ko shanti aur thandak pradan karta hai.
Baal (hair) ko healthy banaye
agar aap apne baalo ke liye koi achchi dawa dundh rahe hai to aap apne baalo ko aloevera ka nutrition dijite. aloevera baalo se judi har tarah ki problems ke liye bohot fayedemand hai. yah baalo ko majbuti deta hai, aloevera se baalo ka badhna suru ho jata haji aur saath hi ye baalo ko healthy aur shiny banata hai. yah aapke sir ki twacha ke liye bhi bohot fayedemand hai.
Cholesterol aur blood sugar kam kare
yah baat prove ho chuki hai ki aloevera cholesterol aur blood sugar levels ko kam karta hai. eska matlab yah hai ki aloevera, diabetes aur motape ko kam karne me sahayak hai.
Ye bhi padhe
Paan ke patto ke 7 jadui fayede
Banana khane ke fayede
badam bhigo kar khane ke faide
Digestion sahi kare
jab aapka khana sahi se digest nahi ho pata hai to esse aapke digestion process par asar padta hai. esse kai prakar ki bimariya shuru ho jati hai. pet ka sidha sambandh sehat se hota hai. aloevera juice se pet ki internal safai ho jati hai. esse digestion se sambandhit kai prakar ki prblems khatm ho jati hai. dairiya, kabj jaise bimari to bohot dur hi rahti hai aur pet ke cancer ki sambhaona bhi kam ho jati hai. yah pet ke extra bacteria ko markar aanto ko safe rakhta hai.
Immune system majboot kare
aloevera me immune system ko majbut karne wala gunn hota hai jo ki immune system ko sahi se kaam karne me help karta hai. immune system me hone wali samasya se asthama jaisi bimariya hone ki sambhaona hoti hai. aloevera juice sujan kam karne me help karta hai aur apne immune system ko majbut kar aapko bimariyo se bachae rakhta haj.
face (chehra) ke jalan aur acne se bachaye
aloevera me maujud tatwa dhoop, dhul aur pollution se hone wali problems se dur rakhte hai. yah face par hone wale pimples, keel, muhaase, daag, dhabbo se chutkara dilata hai. aloevera ke juice me paani ki adhik matra astringent ki tarah kaam karti hai, saath hi body ko hydrate bhi rakhti hai. eske alawa aloevera juice skin ko kai tarah ke infection se bachata hai.
Aloevera me Vitamin aur poshak tatwa
aloevera juice vitamin aur mineral se bhara hota hai. aloevera me Vitamin A, B, E, B1, B2, B3, B6, B12 aur folic acid ki bharpur matra me paayi jati hai. eske alawa esme calcium, magnesium, zinc, iron, potassium adi mineral bharpur matra me hote hai. jo ki achchi sehat ke liye bohot jaruri hote hai.
ye bhi padhe
wajan badhane ke gharelu upaye
Jaldi height badhane ke upaye
Pimple muhaaso ke homemade ilaaj
To es tarah se aloevera aapke liye kai tarah se faidemand hai aur ye bilkul natural tarike se bina kisi side effect ke kaam karta hai. to ab aap bhi Aloevera juice pina shuru kar dijiye.