Badam bhigo kar khane ke kya fayede hai
HI FRIENDS
Bhige badam khane ke fayde:
aap logo ne kabhi na kabhi suna hi hoga ki badam bhigokar khane se jyada faida hota hai aur ye baat bilkul sahi hai agar aap aise hi saade badam khayenge to aapko utna faida nahi hoga, jitna raatbhar paani me bhigokar rakhe huwe badam khakar hoga ab aap soch rahe honge aisa kiu? to chaliye me aapko pure deatail me batata hu ki bhige badam me kya kya hota hai aur eske kya kya faide ha.
Bhige badam me kya hota hai
darasal badam me vitam E, Zinc, calcium, magnicium, omega-3 faity acid jaise bohot se tatwa paaye jate hai. lekin enka pura faida uthane ke liye aapko enhe bhigokar khana hoga. aisa esliye kiuki badam ke chilke me tainin naam ka ek tatwa hota hai. jo ki poshak en saare tatwo ke aososan ko rok leta hai. jab aap badam ko paani me bhigote hai to ye chilka aasani se nikal jata hai aur nuts ko poshak tatwo ko riha karne ki anumati deta hai.
Bhige huwe badam khane ke faide
Vajan kam karne me madadgar
badam wajan kam karne me bohot madadgar hote hai. esme mono ansechuradate fat aapka bhukh kam kar dete hai. bhiga huwa badam anti oxident ka bohot achcha strot hai. yah freeredicals ke nuksan se bachakar umar badhne ki prakriya ko dhima kar deta hai. bhige badam me vitamin B17 aur folik acid cancer se ladhne aur janm dosh ko dur karne ke liye achcha hota hai.
Ye bhi padhe
Banana khane ke fayede
Paan ke patto ke 7 jadui fayede
Wajan badhane ke gharelu upaye
Blood pressure control kare
badam high blood pressure ko niyantrit karne ke liye bohot achche hote hai. genral free redical research me prakashit study ke mutabik wegyaniko ne paya ki badam ka sewan karne se blood me alfal tokoferol ki matra badh jati hai, jo kisi ke bhi blood pessure ko control karta hai.
Dil swast rakhe
agar aap chahte hai aapka dil swast rahe to roj muthi bhar badam khane ki aadat daal lijiye. badam apne anti oxident gune ke karan LDL cholestrol ka oxikaran rokta hai. esse dil aur uska system swast bana rahta hai.
bad cholestrol kam kare
sharir me agar bad cholestrol badh jayega to artriz yani dhamniyo me rukawat paida hogi aur jab aapki dhamniya sahi se kaam nahi kar payengi to aapke liye kai swast samasya paida ho sakti hai. agar aap bhige badam roj khayenge to aapka good cholesterol badhega aur bad cholestrol kam hone lagega.
Garbhwati mahilayo ke liye
bhige huwe badam me folik acid ki matra jyada hoti hai ye poshak tatwa garbh ke shishu ke mastisk aur nurological system ke vikas me madadgar sabit hota hai. jab badam ko bhiga diya jata hai to garbhwati mahilao ke liye use khana aasan ho jata. garbhwasta me pachan sakti kamjor ho jati hai aur bhiga badam aasani se pach jata hai.
Haajma sudhare
agar aapko haajme se judi kai samasya hai to aap bhige huwe badam khaye. ye aapke hajme ko durust banata hai agar aap bhige huwe badam khate hai to aapke pet ke liye protein hajam karna aasan ho jata hai, aisa esliye hota hai kiuki badam ke chilke me enzyme hote hai aur wo jab alag ho jata hai to baki ka badam fat aasani se todh pata hai. fir pachan kriya aur poshak tatwo ka aososhan aasan ho jata hai.
Ye bhi padhe
15 minute me face gora karne ke natural tarike
Motapa kam karne ke liye best yoga poses
Jaldi height badhane ka tarika
so friends aap bhi bhige huwe badam khana shuru kar dijiye kiu to aap jaan hi chuke honge aur aap apna experience hamare saath share jarur kijiyega.