Wednesday 17 August 2016

Tamatar ke fayde - Benefits of tomato in hindi

Tamatar ke fayde -  Benefits of tomato in hindi 


HI FRIENDS 

Tamatar khane ke faide:
 Tamatar jo har kitchen me estemal kiya jata hai.  khuch log tamatar ko sabji samajhte hai lekin ye ek fruit hai. aap shayad nahi jaante honge roj ek tamatar khana roj 1 apple khane se bhi jyada faida pochata hai. 1 tamatar ke andar Vitamin A aur C ke saath potassium aur fibre ki bharpur matra hoti hai.  Tamatar ko salad aur sabji banane ke alawa pakaude, chips aur bohot se chijo me estemal kiya jata hai. to friends chaiye jante hai tamatar khane ke chamatkari fayde.
Tamatar (tomato) ke chamatkari fayde


Blood pressure control kare :- tamatar ko roj salad ke saath estemal karne se aapka blood pressure control me rahega. yah baat saabit ho chuki hai ki 8 hafte tak tagatak tamatar ko salad ke saath estemal karne se blood pressure control me rahne lagta hai. To agar aap high blood pressure ke marij hai to aap bhi tamatar khana shuru kad dijiye

Ye bhi padhe

jadli height badhane ke upaye
Pimple muhaaso ke liye homemade ilaaj
15 minute me face gora karne ke natural upaye


Sardi jukham se chutkara :- Jiuce to aap sabhi peete honge lekin agar aap mix juice me tamatar daal lenge ya phir sirf tamatar ka juice piyenge to ye aapko environment se hone wale virus aur bacteria se bachao me madad karega jisse aapko naak, gale, sardi, jukham aam bimariyo se kai had tak chutkara mil sakta hai.

Skin protection :- Ham sabhi kai tarah ke fruits apne chehre par estemal karte hai. Santra, seb aadi fruits ke kai gunn hamare chehre ki sundarta ke liye viswasniya paaye jaate hai. lekin tamatar ka skin se sambandh bohot kam logo pata hota hai. agar aap 10 hafte tak apne face par tamatar ka paste lagayenge to aapko sunburn se hone wale sidd effects se chuthkara mil jayga. Garmiyo me tapti dhoop se sunburn ke  chances sabse jyada hote hai. esiliye aap sunscreen ke saath roj tamatar ke pasts ka bhi estemal kare aur phir dekhe sunburn ki bimariya kaise gayab ho jati hai.

Cholesterol par control :- Roj tamatar ka sewan dil ki suraksha karta hai jisse hamare Cholesterol par control rahta hai. badhta cholestrol aaj anek bimariyo ki samasya hai esliye apne dil aur badhte cholestrol ki suraksha bohot jaruri hai aur eske liye aapko jarurat hai rojana tamatar ka sewan karne ki.

Note-  Kidney aur pathri ke mareez tamatar ka estemal karne se pahle apne  doctor se salah jarur le.

ye bhi padhe

aloevera juice pine ke 7 behtareen fayede 
Badam bhigo kar khane ke faide
Paan ke paato ke 7 jadui faide


To friends aapne dekha tamatar 1 aur gunn anek. To aap bhi aaj se hi tamatar ka sewan shuru kar dijiye aur anek faido ko apna lijiye. Yah aapke sharir kr liye faidemand hi nahi bohot jaruri bhi hai.

Disqus Shortname

Comments system