Sunday, 14 August 2016

Kele (banana) khane ke fayde in hindi

Kela (banana) khane ke faide 


HI FRIENDS

kela ek aisa fruit hai jiske anek fayede hai. kela sehat ke liye bohot fayedemand hota hai. roj ek kela khana tan-man ko tandarust rakhta hai. kela sehat ke liye bohot fayedemand hota hai. ab aap soch rahe honge kaise to friends chaliye jante hai kela me kya kya hota hai aur eske kya kya faide hai.

Kela (banana) khane ke kya-kya fayede hai


Kele me kya kya hota hai

kele me iron bharpur matra me hota hai, jiske karan khoon me hemoglobin ki matra badhti hai.

kele me typlofan namak amino acid hota hai jisse moond ko relax hota hai.aur tanao kam karne me bhi kela bohot madadgar hai.

kele me paani 64.3 percent, protein 1.3 percent, carbohydrate 24.7 percent aur chiknai 8.3 percent hoti hai.

kele me thaimin, niasin aur folik acid ke roop me vitamin A aur B paryapt matra me hota hai. kele ko urja ka bohot achcha strot mana jata hai.

Kele ke fayede


dil ke liye hai fayedemand

dil ke marijo ke liye kela bohot fayedemand hai. har roj 2-3 kele ko sahad (honey) me dalkar khane se dil majboot hota hai aur dil ki bimariya nahi hoti hai.


Naksir ke liye hai fayedemand

agar naak se khoon nikalne ki samasya hai to kele ko chini mile dhoodh ke saath mila kar 1 hafta estemal kijiye. naksir ka rog samapt ho jayega.


Wajan badhane ke liye hai fayedemand

wajan badhane ke liye kela bohot madadgar hota hai. kele ka shake ya 3-4 kele khane se patle log mote ho sakte hai. esiliye patle logo ko wajan badhane ke liye kele ka sevan jarur karna chahiye.


Bachcho ke liye hai fayedemand

bachcho ke vikas ke liye kela bohot fayedemand hota hai. kele me mineral aur vitamin paya jata hai jiska sewan karne se bachcho ka vikas achche se hota hai. esiliye bachcho ke diet me kele ko jarur samil karna chahiye.


Garbhwati ke liye hai fayedemand

garbhwasta ke daoran mahila ko sabse jyada mineral aur vitamin ki jarurat hoti hai. esiliye garbhwati ko ye salah di jaati ki wo apne aahar me kele ko jarur shamil kare.


Bujurgo ke liye hai fayedemand

kela bujurgo ke liye sabse achcha friut hai kiuki ese bohot hi aasani se chil kar khaya ja sakta hai. esme vitamin C, B6 aur fibre hota hai jo badti umar me jaruri hota hai. budhdho me pet ke vikar ko bhi yah samapt karta hai.

Ye bhi padhe

paan ke patto ke 7 jadui fayede jo aapko nahi pata honge
Aloevera juice pine ke 7 behtareen fayede
badam bhigo kar khane ke faide

Disqus Shortname

Comments system