Sunday 7 August 2016

Motapa (pet) kam karne ke liye best yoga in hindi

Motapa (vajan) kam karne ke liye  best yoga poses


motapa (pet) kam karne ke liye best yoga poses: aaj me aapko khuch aise yoga poses ke baare me batane wala hu jiski madad se aapka vajan bohot jaldi kam hone lagega. agar aapne apne motape ko kam karne ke liye saare nuskhe aajmaliye lekin fir bhi aapka motapa kam nahi hua hua to aapke liye yoga sabse labhdayak rahega. aapka vajan bohot jyada hi kiu na ho agar aap thik se yoga  karenge to aapko bohot fayeda hoga. Yoga ek  bohot accha tarika hai apna motapa kam karne ka iski madad se motape ko kam karne mai aasani hoti hai. Ise karne ke liye aapko na hi gym jana hoga aur na hi apne aahar ki matra ko kam karne ki jarurat hai. to chaliye jannte hai motapa vajan kam karne ke liye best yoga poses.


KAPALBHATI

Motapa (pet) kam karne ke liye best yoga poses


1. kapalbhati karne ke liye sabse pehle kisi khuli aur shaant jagah par jakar baith jaye

2. jaise photo me dikh raha hai kamar aur gardan seedhi rakh kar baith jaye.

3. ankhen band karke dheere se saans ander ki taraf lekar balpurwak saans ko bahar ki tarak chode.

4. esse 10-20 minute tak kare

Kapalbhati yoga karne se charbi kam hoti hai aur esse karne se saans ki bimariya bhi door hi rehti hai.


BHUJANGASANA

Motapa (pet) kam karne ke liye best yoga poses


1. bhujangasana karne ke liye sabse pehle pet ke bal sheedhe let jaye

2. ab apne dono haatho ke sahare kamar ke upar ke sharir ko upar ki aur uthaye

3. hatheli khuli aur jameen par faili honi chahiye

4. ab apne chehre ko upar ki aur uthaye

5. esse kam se kam 10 second tak kare

ess aasan ko cobra pose bhi kehte hai esse aasan se sine aur pet me khichao ata hai jisse aapki charbi kam hogi aur bujangasana karne se back pain bhi theek hota hai.


          *aloe vera ka juice pine ke 7                         behtareen fayede
          * Baccho ki bhukh badhane wale                yogasan


Pashchimottasana


Motapa (pet) kam karne ke liye best yoga poses


1. sabse pehle jamin par baith jae

2. fir apne pairo ko failakar apne sar aur haatho ko upar ki aur uthaye

3. Fir ek lambi saans lekar dhire-dhire apne haatho aur sar ko niche tak iss parakar se layeki aapka sar ghutne se aur dono haath aapke pairo ki ungaliyo se sat jaye.

4. Iss tarah apne sar ko apne ghutno se satane ka prayas kare.

5. ese aap 10-15 second tak kare

es aasan ko karne se pet par dabao parta hai jiska seedha asar pet ki charbi par parta hai. agar aapka pet khuch jyada hi nikal aaya to aap es aasan ko roj kare esse aapko bohot fayeda hoga.


Balasan
Motapa (pet) kam karne ke liye best yoga poses


1. balasan karne ke liye sabse pehle apne ghutno ke bal jammen par baith jaiye, jisse aapka sara wajan aeriyo par ho

2. gahri saans lete huwe aage ki aur jhuke

3. khuch der esi postion me rahe fir wapas upar aa jaye aap ese 4-5 bar dohraye.

esse aapka wajan bohot jaldi kam hone lagega. aur aapki manspeshiya majboot hogi.

          * motapa kam karne ke upaye
          * Jaldi lambai badhane ke tarike


Yoga cycling


Motapa (pet) kam karne ke liye best yoga poses


1. yoga cyling karne ke liye sabse pehle jamin par peeth ke bal let jaye

2. fir jaisa upar image me dikh raha hai apne pairo ko es tarah hilaiye jaise aap cycle ka paidle chala rahe hai.

3. khuch der seedha fir khuch der ulte direction me paidle kare.

charbi kam karne me yoga cycling bohot fayedemand hai. yoga cycling se wajan kam hone ke sath-saath  pet aur pao ki charbi bhi kam hoti hai.


Anulom vilom


Motapa (pet) kam karne ke liye best yoga poses


1. anulom vilom karne ke liye sabse pehle jamin par pao cross karke baith jae.

2. fir apne haatho ko ghutno par rakhe

3. Ab apne baye haath ke anguthe se apni ek taraf ki naak band kare aur dusri taraf se gehri saans le

4. .Ab usi hath ke ungaliyo se daye naak ke chidra ko band kare aur baye wale chidra se saans ko chode.

5. aap ese 10-15  bar kare

Anulom Vilom pranayam ko karne se sharir mai rakt ka sanchar thik rehta hai, jisse pet ki charbi nahi badti. Ise naadi shodhan pranayam bhi kaha jata hai.



Parwottanasan


1. ese karne ke liye sabse pahle pairo ko saamne ki aur failakar baith jaye.

2. dhyan rakhe ki jude aur rirh (spine) ki haddi seedhi honi chahiye.

3. ab dono haatho ko jameen par titakar kamar ke nichle hisse ko upar ki aur uthaye.

4. kuch second es awastha me rahne ke baad wapas samanya awastha me aa jaye.

es aasan se charbi ghatane me aasani hoti hai. yah sharir ke nichle baag aur baajuo ko sudol banane ke liye achcha aasan hai. esse sharir lachila rahta hai.


Ustrasana

Motapa (pet) kam karne ke liye best yoga in hindi


1. ese karne liye sabse pahle baith ke apne ghutno par khade ho jaye.

2. ghutno se kamar tak ka bhaag seedha rakhe wa peeth ko pheeche ki aur modkar aeriyo ko pakad le.

3. ab sir ko peeche ki aur jhuka de.

ustrasana me unth (camel) ki aakriti banai jaati hai. esi karan ese ustrasana kaha jata hai. agar aapka pet jyada nikal aaya hai to es yog se aapka pet, kamar, chati aur baho par asar padhta hai.





Disqus Shortname

Comments system