Homemade ayurvedic beauty tips in hindi
Homemade ayurvedic beauty tips in hindi : hi friends ek baar phir aapka swagat hai healthwalebaba par aur aaj me es post me aap logo ko Homemade ayurvedic beauty tips ke bare me batane wala hu. jaha ayurveda ki baat aati hai matlab no side effects and no reaction. ayurveda kabhi harmful nahi hota eske koi side effects nahi hote hai aur ayurveda se hame fast result milta hai. to chaliye jante hai homemade ayurvedic beauty tips in hindi.
chamakdar ( चमकदार ) aankho ke liye
subah uthte hi har roj thande paani se aankhen dhoni chahiye. athwa trifala ( त्रिफला ) ya neem ki patti raat me pani me bhigo de, es paani ko chaan kar aankhe dhone se aankho ki roshni badti hai.
sarso ke tel se bana kajal lagane aur gulab jal ka fhaha aankho par rakhne se aankhe saaf rahti hai. adhik der tak padhte - likhte rahne se aankho me dard hone lagta hai. esiliye bich - bich me apne hatheliyo ( हथेलियो ) ko apne aankho par rakhe.
aankho ko baar - baar upar - niche daye ( दाएं ) - baye (बाएं ) tircha aur gol ghumakar aankho ka exercise kare. hari taaji sabjiya, gajar, chukundar, doodh adi se bane padarth ghee ( घी ) adi ke sevan se se aankho ki roshni badti hai. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]
Gym guide and tips in hindi gym join karne ke baad kya kare
Bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye
Weight gain tips in hindi - vajan kaise badhaye
Aankho ke niche kaale dhabbe
aankho ke niche kaale dhabbe hona aam samasya hai, kam sone adhik thakan hone, kamjori ya neend na aane ki bimari ke karan hote hai. neend lena swasth ( स्वास्थ्य ) ke liye bohot jaruri hai. yadi aapko neend nahi aati, aapko thakawat rahti hai to roj subah ghar me hi exercise karni chahiye.
aankho ki charo tarak ki skin bohot najuk hoti hai. esliye beauty cream lagate samay bohot saodhani ( सावधानी ) baratni chahiye. sone se pahle skin ko nami dene wali cream ya lotion ka estemal karni chahiye. rui ( रूई ) ke fohe ( फोहे ) ko aankho ke ird ( ईर्द ) - gird ( गिर्द ) lagaye. aankho ke liye liye badam cream sabse achchi hoti hai. esse rang bhi saaf hota hai aur saath hi skin ka poshan hota hai. koi bhi beauty cream aankho wale area par jyada der nahi lagana chahiye. face par lagaya jane wala paste aankho ke aas-pass nahi lagana chahiye. aankho par kheere ka ras, aloo ka ras ya gulab jal ko rui ke fohe me bhigo kar aankho par rakhna chahiye. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]
khoobsurat baal
ber (बैर ) ki pattiya ko bareek pees kar usme nimbu nimbu ka ras milakar baalo me laga le wa 2 ghanto baad baalo ko paani se dho le. ese ek mahine karne se naye baal aa jate hai aur baal jhadna (झड़ना ) band ho jate hai.
badh ( बड़ ) ke doodh me ek nimbu ka ras milakar sir me aadhe ghante tak laga rahne de. fir sir ko gungune paani se dho le. esse balo ka jadhna kam ho jata hai aur baal teji se badhte hai.
gudhhal ( गुड़हल ) ki pattiya natural hair conditinor ka kaam deti hai. aur esse baalo ki motai badhti hai. baal samay se pahle safed nahi hote. esse baalo ka jhadhna bhi band hota hai. sir ki twacha ki anek kamiya esse door hoti hai. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]
2 chammach ( चम्मच ) glycerine, 100 gram dahi, do chammach sirka ( सिरका ), 2 chammach naryal ka tel milakar paste bana le. es paste ko aadhe ghante tak baalo me lagaye fir paani se baalo ko saaf kare. baalo me kuch der ke liye khatti ( खट्टी ) dahi lagaye fir gungune paani se dho le. baal ekdam mulayam ho jayengr.
weight loss tips in hindi - motapa kam kaise kare
Motapa kam karne ke best yoga poses
Aloe vera ka juice pine ke 7 behtareen fayede
healthy skin ke liye
agar aapki skin oily ya samanya hai, to thande mausam ka uspar jyada asar nahi padega. agar aapki skin rukhi ( रूखी ) ya sushk ( शुष्क ) hai to aapko thand ke mausam me aapko apne skin ki jyada dekh rekh karni padegi. thand ke mausam me thandi hawao ( हवाओं ) ke karan skin fat ( फट ) jati hai ya sushk ho jati hai. sabse jyada chehre ke skin par hi eska prabhao padta hai. skin ki nami banaye rakhna mushkil nahi hai. aap mausam ke anusar facial karke eske kuprabhao ( कुप्रभावो ) se bach sakti hai. to chaliye jante hai thand ke mausam facial kaise kare aur kin chijo ka estemal kare. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]
sabse pahle chehre ki skin cleansing milk se saaf karke paani se dho le. ab barabar matra me glycerine aur gulab jal milakar usse ( उससे ) chehre ki halki malish kare
gaalo par golai ( गोलाई ) se malish karte huwe ( हुए ) haath niche se upar ki aur le jaye. es prakriya ( प्रक्रिया ) se rakt ( रक्त ) sanchar badhega aur gaalo ka gulabipan bana rahega. lalaat ( ललाट ) ya maathe ( माथे ) par maalish karte samay left se right ki taraf haatho ko tedha karke chalaye. aankho ki najakat ka dhyan rakhte huwe ungliyo ( उंगलियों ) ko golai se es tarah ghumaye ki glycerine aankho me na jaane paye, kiuki yah aankho me jalan paida kar sakti hai.
glycerine ki maalish hontho ( होंठों ) ke liye sardiyo me jaruri hai. esse sukhi twacha nam ho jati hai aur fate ( फटे ) hontho ko rahat milti hai. hontho ki malish ek baar bai aur fir ek dai aur se kare. naak ke liye bhi yah behtareen massage hai. esse naak ki hard skin bhi mulayam hokar chamakne lagegi. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]
sardiyo me kewal yah massage din me samay milne par 2-3 bar aapne kar liye to aapki skin ki chamak dekhne layak hogi.
en dino lagne wale face pack bhi thode alag hote hai. sabse achcha face pack laal chandan ka mana jata hai. esme taji ( ताजी ) malai etni matra me milaye ki gaadha ( गाड़ा ) paste ban jaye. es paste ko niche se upar ki aur golai me haath chalate huwe gardan aur pure chehre par lagaye. 15 - 20 minute baad halke garam paani se dho le esse skin ka rukha pan door ho jayga.
sushk skin hone par badam ke tel me nimbu ke ras ke 2 - 3 bunde daale aur chandan ka powder mix kare. ese chehre par lagaye. 5 - 7 minute baad ese halke haatho se ragadte ( रगड़ते ) huwe utar le aur halke garam paani se chehra dho le. esse skin komalta badhegi aur saath hi sawlapan ( सांवलापन ) bhi khatm hoga.
skin ke oily hone par sahad me besan milakar halke haatho se chehre par male aur baad me dho le. besan extra oil ko khatm karega aur sahad skin ke dheele pan ko khatm karke kasao ( कसाव ) layega, skin ki chamak bhi sahad banaye rakhega. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]
Oily skin ke liye gharelu nuskhe
Face glowing best tips in hindi
pimple treatment in hindi - pimples hatane ke tarike
hontho ( होंठो ) ka kalapan ( कालापन )
hontho ko khoobsurat banane ke liye aap kiya nahi karti. lipstick, lip balm, moisturisef aur na jane kya kya. lekin hontho par lagaye jane wale kai utpad ( उत्पाद ) asal me unhe khoobsurat banane ke bajaye lambe samay me unhe nuksaan pohcha sakta hai. agar aap bhi apne hontho ke fatne aur kaalepan se pareshan hai to niche aapko kuch natural upaye diye hai jinhe apnakar aap apne pareshani se chuthkara pa sakte hai.
Doodk ki malai : hontho ka rukhapan hatane ke liye thodi si malai me chutki bhar haldi milakar niyamait rup se dhire - dhire hontho par maalish kare. aap dekhenge ki es gharelu upaye se kuch hi dino me aapke honth mulayam aur gulabi hone lagenge.
Kesar : hontho ka kalapan door karne ke liye kachche doodh me kesar peeskar hontho par male. eske estemal se hontho ka kalapan to door hota hi hai saath hi we pahle se jyada attractive lagne lagte hai. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]
Sahad : shahad ke estemal se kuch hi dino me aapke honth chamakdar aur mulayam ho jayenge. eske liye sahad ko apne ungli par leke dhire dhire apne hontho par male ya me thoda sa suhaga milakar apne hontho par lagaye ese aap din me do baar kare aur aapko result mil jayega.
baalo ka jhadna ( झड़ना )
baalo ka jhadna ek aisi samasya hai jo kisi ko bhi tension me daal sakti hai. aaj har dusre vyakti ko es samasya se jujhna ( जूझना ) padta hai to niche diye ayurvedic tarike aap jarur apnaiye.
naryal ke tel me kapoor milaye aur yah achchi tarah baalo me aur sir par lagaye. kuch hi dino me dandruff ki samasya se rahat milegi. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]
baal jhadhte hai to garam jeatun ( जैतून ) ek chammach sahad aur ek chammach daalchini ( दालचीनी ) ka paste banaye. nahane se pahle es paste ko sir par lagaye aur 15 minute baad garam paani se sir dhoye. aisa karne par kuch hi dini me baal jhadne ki samsya door ho jayegi.
agar aap nashile ( नशीले ) padarth sevan ya smoking karte hai to band kar de. baal jhadna jald hi kam ho jayenge.
sarso ke tel me mehndi ki pattiyo ko daalkar garam kare. thanda karke baalo me lagaye, esse baalo ka jhadna ruk jayga.
Aamtor par sahad aasani se sabhi ke yaha mil jata hai. sahad ke oshdhi ( औषधि ) gun sabhi jaante hai. sahad ki tasir thandi hoti hai aur yah kai bimariyo ko door karne me kargar hai. sahad se baalo ka jhadna bhi roka ja sakta hai. [ Homemade ayurvedic beauty tips in hindi ]