Paan ke patte ke fayde - Benefits of betel leaf in hindi
HI FRIENDS
Paan khane ke fayde:
hamari Country India me paan khane ki parampra kaphi purani hai.
India ke bohot se hisso me paan ki kheti hoti hai jisme mahoba eskeliye kaphi famous hai. paan ke patto ka swad kasaila jarur hota hai lekin eske khaane wale esme kattha, soaf, supari milakar kar bade maze se khate hai. khuch log paan khaane ko galat aadat maante hai lekin eske bohot se fayede bhi hai. ayurved ke anusar paan khane se cancer jaisi khatarnak bimairi bhi door rehti hai.
to chaliye jante hai paan ke patto ke 7 jadui faide.
Jodo ka dard sahi kare
agar aap jodo ka dard ya arthritis ki samasya se pareshaan hai to paan esme bohot fayedemad sabit hoga. paan ke patto ko piskar kapde ki potli me bandhkar garm kare fir esse jodo ki sikai kare esse aapko jodo ke dard me rahat milegi.
Pet dard me fayedemand
pet me dard ya aethan hone par paan ki chikni wali satah par arandi ya naryal ka tel lagaye aur fir es tel ko mombatti ke upar garam kare fir ese pet par rakh ke sikai kare. aisa karne se khuch hi palo me aapko rahat mil jayegi.
Pachan sakti badhaye
paan khane se khane ko pachane ke liye jaruri pachak raso ki matra bad jaati hai. jisse pachan teji se hota hai aur aapko pet se judi bimariya nahi hoti hai. agar aapne bohot jyada khana bhi kha liya hai to uske baad paan kha lene se wo jaldi pach jata hai.
Wajan kam karne me madad kare
agar aap apne badhte wajan se pareshan hai to aapko paan khana suru kar dena chahiye. paan khane se aapke sharir me metapolism ki dar tej ho jati hai jisse aapka wajan teji se kam hota hai aur sharir me atirikt charbi jama nahi hoti hai.
Ghao bharne me madad kare
paan ke patte me anti bacterial aur ghao ko jaldi bharne wale gun hote hai. paan ke patte ko pees kar ghao par lagane se ghao jaldi theek hota hai aur sankraman se bacha rehta hai. paan me dard niwarak gun se chot me hone wale dard se bhi aaram mil jata hai.
Gale ki kharas dur kare
gale me kharas ya dard hone par paan ke patto ke 5 mili litre ras ko 1 glass garam pani me milakar pine se rahat milti hai. gayak log apne gale ko achcha rakhne ke liye ese niyamit tor par estemal karte hai.
Muh (mouth) ke rogo ke liye
paan apni manmohak aur anokhi mahak ke liye jana jata hai. paan ki pattiya chabane se muh me aane wali badbu khatm ho jaati hai. paan khane wale ki laar me scorbic acid ka estar bhi samanya bana rahta hai, jisse muh sambandhi kai bimariya hone ka khatra kam ho jata hai. paan chabane se daant saaf ho jate hai jisse cavati ka khatra nahi rahta hai.
YE BHI PADHE
Aloevera ka juice pine pine ke 7 behtareen fayede
Face gora karne ke natural tarike
Badam bhigo kar khane ke faide
Banana khane ke faide