5 Best yoga for weight gain in hindi - 5 vajan badhane wale best yoga
Best Yoga for weight gain in hindi - vajan badhane wale best yoga : kya aap bhi apne duble patle shrir se pareshaan hai. aap bohot khate hai achchi lifestyle jeete hai aur aapne vajan badhane ke liye saare nuskhe aajma liye lekin fir bhi aapka vajan badh hi nahi raha hai to yoga ko aap jarur try kare. kuch logo ko lagta hai ki yoga sirf vajan kam karne ke liye hota hai lekin me aapko bata du yoga vajan kam karne me labhdayak to hai hi aur saath hi yoga vajan badhane me bhi bohot asardar hai. yoga vajan badhane me bohot hi asardar hai agar aap hamare bataye gaye yoga aasans ko achche se karenge to aapka vajan jarur badhega. to chaliye jante hai Best Yoga for weight gain in hindi - vajan badhane wale best yoga
5 Best Yoga for weight gain in hindi - vajan badhane wale 5 best yoga |
Surya namaskar
1. surya namaskar ke liye sabse pahle seedhe khade ho kar dono haath jodkar namaskar ki mudra me aa jaye.
2. ab aap apne sharir par dabao daalte huwe adhik se adhik niche jukne ki koshish kare aur aap apne pairo ko chuwe.
3. eske baad aap normal ho jaye fir ek pair ko niche ki taraf kare aur dusre ko aage ki taraf kar apna ghutna morh le aur esi position me kuch der rahne ki koshish kare.
surya namaskar vajan badhane ke liye bohot achcha yoga hai. ye ek aisa yoga hai jo shareer ko furteela banata hai. surya namaskar ke 12 positions hote hai aur aap har position ko kam se kam 5 second karne ki koshish kare. agar aap din me 2 bar surya namaskar ke aasan karte hai to aapko bohot fayeda hoga. [ 5 Best Yoga for weight gain in hindi - vajan badhane wale 5 best yoga]
Fast muscles gain tips in hindi
Body building tips in hindi
gym guide and tips in hindi
Sarvagasana
1. sarvagasana karne ke liye sabse pahle niche jameen par so jaye.
2. jaisa aapko photo me dikh raha hai ab dheere-dheere peron ko sir ke upar tak le aayein.
agar aap apna vajan teji se badhana chahte hai to aapko ye aasan jarur karna chahiye. ese aap subah me kare to aur bhi achcha rahega.
Bhujangasana
1. bhujangasana karne ke liye sabse pahle niche jameen par kuch bicha kar pet ke bal let jaye.2. ab apne dono haatho ke sahare kamar ke upar ke sharir ko upar ki aur uthaye
3. ab apne chehre ko jitna ho sake upar ki aur uthaye
Vajan badhane ke liye es aasan ko bhi bohot faydemand mana jata hai.
Matyasana
1. matyasana karne ke liye sabse pahle jaamen par kuch bicha kar padmasana ki mudra me baith jaye.
2. ab apne dono haatho se pairo ko pakad le.
3. ab peeche ki aur pura jhuke
es aasan ko karte waqt sharir machli ki tarah dikhta hai esliye ese matyasana kahte hai ese fish pose ke naam se bhi jana nata hai. Jin logo kobhukhkam lagti hai unke liye ye aasan bhut hi faydemand hai. [ 5 Best Yoga for weight gain in hindi - vajan badhane wale 5 best yoga]
Savasana
1. savasana karne ke liye sabse pahle niche peeth ke bal seedha let jaye.2. ab apne aankho ko band karke apne haath pao ko dheela chodh de.
es aasan ko karna bohot hi aasan hai. es aasan ko karne se aapki thakan to door hoti hi hai aur saath hi aapka vajan bhi badhta hai. aap chahe to es aasan ko 30 minute tak bhi kar sakte hai. [
5 Best Yoga for weight gain in hindi - vajan badhane wale 5 best yoga]
ye jarur padhe
Weight gain tips in hindi