Pregnancy ke baad fit rahne ke 15 best tips - How to fit after pregnancy in hindi
Pregnancy ke baad fitrahne ke 15 best tips - how to fit after pregnancy in hindi pregnancy : ke doran mahilao ko bohot dekh bhaal ki jarurat hoti hai. na sirf khan - paan ki balki swasth sambandhi dekh bhal karna bhi bohot jaruri ho jata hai. kya aap jante hai pregnancy ke baad dekh bhaal ki utni hi jarurat hoti hai jitni pregnancy ke doran. pregnancy ke baad mahilo ko sabse adheek jo pareshani hoti hai wah hai vajan kam karne ki. vajan kam karne ke liye pregnant maholao ko exercise karne ki jarurat hoti hai lekin unke saath hi vajan ghatane ke nuskhe apnakar wah pregnancy ke kuch dino baad hi pahle jaisi dikh sakti hai. pregnancy ke baad aahar ka bhi khas khayal rakhna hota hai. To chaliye jante hai pregnancy ke baad fit kaise rahe - How to fit after pregnancy.Pregnancy ke baad fit rahne ke 15 best tips |
1. Har mahila chahti hai ki wah pregnancy ke doran aur pregnancy ke baad fir rahe lekin eske liye mehnat karna bhi jaruri hai.
2. pregnancy ke doran exercise karna jitna jaruri hai utna hi pregnancy ke baad bhi exercise karna chahiye. eske liye aap kuch halke - fulke exercise kar sakti hai.
Jogging karne ke fayde
ice cream khane ke fayde aur nuksaan
Chewing gum khane ke fayde
3. pregnancy ke baad furti laane ke liye jaruri hai ki aap sahi poshak le, waise bhi pregnancy ke baad mahilao ko sahi poshak ki jarurat hoti hai. kiuki aise samay me bachche ko feed bhi karane ki jarurat padti hai.
4. mahilao ko apni aahar yojna banani chahiye jisme unhe vitamin, calcium, protein calories wagera ko sahi roop me shamil karna chahiye.
5. pregnancy ke baad bhi junk food se door hi rahna chahiye aur oily khane se bachna chahiye.
6. pregnancy ke baad vajan kam karne ke liye jaruri nahi ki aap khana peena chod de balki aapko santulit matra me poshtik aahar lena chahiye.
7. agar aap chahti hai ki bohot mahnat kiye bager aap apna vajan kam karle to aapko taral padarth jaise juice, falo ka ras, soop, paani wagera ko jyada se jyada matra me lena chahiye.
8. vajan kam karne ke liye medicines lene ki bajaye aako antioxident bharpur cheeze le. aise me aap green tea, lemon tea le sakte hi.
9. aap sharir me paani ki purti karne ke liye tarbooj, gajar, apple wagera poshtik fal aur sabjiya khaye. itna hi nahi adheek se adeek hari sabjiyo ka sevan kare.
Homemade ayurvedic beauty tips
10. agara aap pregnancy ke baad vajan kam karne ki soch rahi hai to to aapko chahiye ki aap full cream milk ke bajaye toned milk se bani bani dahi, paneer wagera ka sevan kare.
11. pregnancy ke baad aapko fit rahne ke liye aapko chahiye ki subah ka naashta heavy kare lekin eska matlab ye nahi ki aap dopahar ka khana hi na kaye. balki aapko dopahar ka khana bhi khna chahiye lekin subah ke baashte se kam.
12. shaam ko kuch bhi snacks khane ke bajaye poshtik snacks jaise ankurit month, chane wagera le sakte hai aur raat ka khana kam matra me le.
13. aapko chahiye ki raat ko sone se 2 ghante pahle khana khaye aur khane ke baad walking jarur kare. esse aapko atirikt calories burn karne me madad milegi.
14. aapko subah jaldi uthkar exercise karna chahiye ya fir morning walk karna chahie.
15. aap ye bhi dhyan rakhe ki heavy exercise karne se pahle aap doctor ki salah jarur le lijiye.