Monday, 12 September 2016

Fast and easy weight loss tips in hindi - aasani se vajan ghatane ke tarike

Fast and easy weight loss tips in hindi - aasani se vajan ghatane ke tarike


Apni favourite recepy ko na kehna se lekar, subah jaldi uthkar gym jaane ke liye taiyar ho jana. Aap apna motapa kam karne ke liye apne pure routine ko badalna padta hai. Aap agar soch rahe hai ki aap exercise bhi bohot karte hai, dieting par bhi eksar rahte hai, lekin fir bhi aapka vajan kam nahi ho raha hai. Motapa kam karne ke liye choti baato ka khayal rakhne se aap kafi had tak apne vajan par kaabu kar sakte hai. Chaliye jante hai fast and easy weight loss tips in hindi - motapa kam karne ke aasan tarike.

Fast and easy weight loss tips in hindi - aasani se vajan ghatane ke tarike
Fast and easy weight loss tips in hindi - aasani se vajan ghatane ke tarike


Khane ka tarika

Motapa kam karne ke liye apne aahar par to ham sabhi dhyan dete hi hai, lekin aahar ke sevan ka kya tarika hai. Es baat ko ham seriously nahi lete hai. Khane ka sahi tarika hai pahle salad wa sabjiya, uske baad din ka ya raat ka khana khaye. Aur me aapko ek salah dene chahunga Snacks ko aisi jagah par na rakhe jaha baar - baar aapki najar jaye.

Motapa kam karne ke liye best yoga
Weight loss tips in hindi
Body building tips in hindi

Protein ka sevan

Subah ke naashte me protein ka sevan kare. Milk protein ka ek achcha jariya hai, to subah uthte hi ek glass doodh piye, protein ke sevan ke baad aap apne snacks le sakte hai. 

Exercise bhi jaruri hai


Exercise ko apne routine ka hissa banaye. Subah ho ya shaam kuch time exercise ko bhi jarur de, jaruri nahi ki aap ghanto exercise kare, aadhe ghante ka exercise bhi bahut hai. Agar aapko cycling, game khelne ya dancing ka sokh hai to ye aapke liye bohot achcha hai. 

Fruit juice nahi, fruit 

Doctor's aur dietitian kahte hai ki fruit khana motapa kam karne me bohot madadgar hai. Aamtor par log bajar me milne wale packed juice peete hai jisme mojood mitha vajan ghata nahi balki badha deta hai. Aap sirf friut juice ki jagah sir friut khakar apna vajan kam kar sakte hai. 

Dahi khaye

Dahi khane se bhi vajan kam ho husakta hai. Jyada dahi khane walo ka vajan teji se kam hota hai ya kam badhta hai. Dahi me calcium aur protein fat ko kam karne me madad karta hai, lekin dahi ya to thanda ya skim milk ka bana ho ya fir milk ki malai utar kar jamaye. Dahi raat ko na khaye, subah ya lunch me achcha rahta hai. 

Paryapt neend le

Neend puri hona bohot jaruri hai. Haal hi me neend ke sambandh me hui ek study ke anusaar kam sone se motapa badhane wala jean protsahit hote hai. 9 ghante sone wale ke motapa badhane wale hean so jate hai. Esiliye aap kam se kam 7 - 8 ghante ki neend jarur le.


Disqus Shortname

Comments system