Sir dard ke liye gharelu ilaaj - home remedy for headache pain in hindi
sir dard ke liye gharelu ilaaj - home remedy for headache : pain in hindi sir dard ek aam samasya hai log aksar sir dard ko theek karne ke liye medicines ka sahara lete hai, jinke kuch side effects bhi ho sakte hai. lekin en pain killer medicines ke bajaye ghar ke bane kuch nuskhe estemal kare aapko aaram bhi milega aur enka koi side effects bhi nahi hoga. kai bar sir me aisa dard ho jata hai jise bardasht karna namumkin ho jata hai. sir dard kai karano se hota hai, jisme tanao thakan pramukh hai. halaki kai bar gas ke karan bhi sir me dard hone lagta hai. jab pet ki gas upar chadti hai aur pass nahi ho pati hai to yah dil aur dimaag par asar karti hai, jiske karan sir dard hota hai. to chaliye jante hai sir dard ke liye gharelu uaye - home remedy for head pain headache.sir dard ke liye gharelu ilaaj - home remedy for headache pain in hindi |
Sir dard se bachne ke gharelu upaye
sir dard hone par letkar dard wale hisse ko bed ke niche latka dijiye. sir ke jis hisse me dard ho raha ho us taraf wale naak me sarso ke tel ki kuch bunde daal dijiye, uske baad jor se saans ko upar ki taraf khichye esse sir dard se rahat milegi.fast muscles gain tips in hindi
gym guide and tips in hindi - gym join karne ke baad kya kare
Bodybuilding tips in hindi - body kaise banaye
sir me dard hone par daalchini ko paani ke saath maheen peeskar maathe par patla lep laga lijiye. lep sukh jaane par use hata lijiye. 3 - 4 lep lagane par sir dard band ho jayega.
pushkar mool ko chandan ki tarah ghiskar uske lep ko maathe par lagane se sir dard theek hota hai.
mulhati ko peeskar churan (चूर्ण) bana lijiye. es churan ko naak ke paas le jakar sunghne se sir dard me rahat milti hai.
garam masala chaey ( tea) sir ke dard ke liye ek kargar upaye hai. aap es chaey me long aur tilsi ke kuch patte bhi daal sakte hai. yah chaey neend ko bhagakar dimaag ko sachet karti hai. aap esme thode se adrak ke saath elaichi bhi mila sakte hai. esse aapka sir dard to theek hoga hi saath hi aap tarotaja bhi mahsoos karenge.
Homemade ayurvedic beauty tips in hindi
Face glow best tips in hindi
face ka rang gora karne ke natural tarike
sir dard hone par peepal, sonth, mulhati, sofh, kuth en sabko lagbhag 10 - 10 gram lekar peeskar churan bana lijiye. eske baad es churam me ek chammach paani milakar gadha lep bana lijiye. es lep ko maathe par lagaiye. sir dard hona band ho jayega.
jyada tanao ya din bhar ki bhaag dorh ki vajah se bhi sir dard ho sakta hai. ese door karne ke liye kisi achche herbal tel se maalish karwaye. maalish ke pahle let ko halka sa garam kar le. tel lagate samay ungliyo ko sir par halke dabao ke saath dhedre - dheere maalish kare. esse na sirf sir dard door hoga balki ess massage se baalo ki jade bhi majboot hoti hai aur baal achchi tarah se badhte hai.
Towel ko halke garam paani me daalkar uss towel se dard wale hisso ki maalish kijiye. esse sir dard me fayda hoga.
Agar aapke sir dard ka karan ek hang over ki vajah se hai to nimbu paani herbal upchar aapke bade kaam aayega. jyada sharab pee lene se desperation matlab paani kami ho jati hai. aise me jaruri hai ki aap jyada se jyada paani piye. ek glass halke garam paani me nimbu ka ras nikalkar usme thoda sa namak aur chini milakar piye.